chaand khamosh sitaare khamosh Raat khamosh hai
jab se khamosh hai tuu ye kaaynaat khamosh hai
tum kyaa gaye mere lafz bhi gumshuda se ho gaye
Mai.n gumsum sa hu.n har jazbaat khamosh hai
wo haadse yaad hai.n mujhe ke tham gaya hoga
khuda bhi dekhkar ke aalam-e-bisaat khamosh hai
Tyohaar se pahle dhamaake kii guunj sunaaii deti hai
Taqalluf kii khushi hai oar nishaat khamosh hai
Palak bhi wo jhapke.n to awaaz sunaai de mujhko
Wo Baat karte hai.n iss lehja ke baat khamosh hai
diye they haath do, ab uska matlab samjh e bashar
wo haath zulm kare to kyo.n ye haath khamosh hai
Khamosh reh tuu apne farz adaa karta chal 'aamir'
Jumbish-e-zami.n- o-paida-e-zaraat khamosh hai
-
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
comm mae likhi thi naa ye gahzal.... bahut khoobsurati se likha hai..n i still rmbr kis speed se likha tha.. within 1o min aapne esae cmplt kar diya tha :P
aapki writng skill ka koi toud nahi... God Bless You!!
10 to nahi.n ha.n 20 minute lage honge shayad...
thanks a lot preeti...
Post a Comment