Monday, April 7, 2008

Qissa-e-aitmaad...!!

Kitne azeez rahe tumhare jaane ke baad
Sham hai tanhayi hai aur tumhari yaad
***
Meri ab tak bhi hairaniya.n kaha.n gayi.n
Kisko sunaye.n jaake ye qissa-e-aitmaad
***
Mai.n wo guzre zamane sab bhuula hu.n
Tum aaye ho ab karne kyo.n daad-o-sitad
***
Ye bhi kya baat rahi, ke har jaanib itlaaf
Idhar mai.n barbaad, udhar tum barbaad
***
Muddaton ke baad hum tumse mile hain
Fasle bahar aayi hai muddaton ke baad
***
koi maafi iltaja bhi lage tumko na-gawaar
Ab toot hi chuka hai jab tumhara aitmaad
***
Kiske sahare jeena hai jab tum hi chal diye
Tanha na mujhko chodiye kar jaiye barbaad
***
Seene se dil nikal ke wo kah rahe hain ab
Na mujhko tujhse wasta hai na koi muraad
*****
Ghazal by : Kavish and Aamir
*****

Usko Soacha...!!!



Jab bhi usko maine soacha jaane kyaa kyaa soacha
Uskii rangat soachii mai.ne uskaa chehraa soacha

wo jo nazar milaayenge to mai.n bhi to muskaau.nga
Dil mei.n ghar kar jaau.n kaise eisa rastaa soacha

mai.n to jahaa.n bhi jaata hu.n bas saath use le chalta hu.n
Gulshan gulshan soacha usko sehraa sehraa soacha

ek shab oar jo aayii thii wo jaau.n jaau.n kahtii hai
Kyaa vadaa tha mai.ne phir se uskaa vadaa soacha

Hosh teraa qaayam kyo.n rehta sach hai kitnaa qaatil hai
bhalaa kiya jo tuune us ko raftaa-raftaa soacha

Khud Se Saari baat jo khulkar ho gayii...!!

Khud se saari baat jo khulkar ho gayii
Dekho tabiyat kitnii behtar ho gayii

Sach zindgii ke saamne aate chale gaye
Jiine kii khwaiish kam se kamtar ho gayii

Naa nazar jhukii naa hii ye dil dhaDka
Itnii baat to khat mei.n likhkar ho gayii

Raahe.n yaro.n pathreeli thi.n aaj bohot
Chalte chalte chaal bhi pat_thar ho gayii

Ye to bataa de kaisii dua dii thii ‘aamir’
Jo Haalat uskii bad se badtar ho gayii

Dil-e-Naatva.n...!!

Samt-e-saahil to shiddat se be-shak jataa hu.n
Jab lehar aati hai peechhe ko sarak jataa hu.n

Haadse kitne merii aankho.n se vaabsta hai.n
Koi bhi majmaa ho, ab mai.n to thithak jataa hu.n

Tuu zindgii hai teraa kaam hai chalte rahnaa
Main hu.n insaan kisi moD bhi thak jataa hu.n

Muddaa koii bhi insaniyat ka yu.n naa rahaa
Aadmii hu.n kahi.n mai.n bhi to behak jataa hu.n

Mujhse naa puuchh abhi kitnaa safar baakii hai
Jahaa.n milte hai.n zameen o falak jataa hu

Girte dekhe hai.n koii roaz puraane bar_Gad
Jab havaa chaltii hai daalii sa lachak jataa hu.n

Ab sukhanwar mai.n kahaau.n to kahaau.n kyo.nkar
Dil mei.n jaisii bhi mere aaye hai bak jataa hu.n

Sunaa hai unke armaano.n ne dam toDaa tha..!!



TaDap-taDap ke Diivaano.n ne dam toDaa tha
Sunaa hai unke armaano.n ne dam toDaa tha

Waqt-e-gardish kii tapish thii jo mere par sulage
Kabhii merii bhi to uDaano.n ne dam toDaa tha

Ye kinaare to wahi.n dekho muskuraate hai.n
Kal jaha.n saikDo tuufaano.n ne dam toDaa tha

Waqt-e-rangiinii mei.n zamaana jinke saath rahaa
Ek viiraane mei.n sultaano.n ne dam toDaa tha

Apnii insaaniyat ko zindaa yaha.n rakhne ko
Ye bataa koun se insaano.n ne dam toDaa tha

Jaane kisne churaa lii...!!



Yaaro.n merii taqdeer thi jaane kisne churaa lii
Khwaabo.n kii taabeer thi jaane kisne churaa lii

Bas ek hii jaageer thi jaane kisne churaa lii
Qismat kii lakeer thii jaane kisne churaa lii

Zamaane mei.n meraa oar to kuchh bhi na hua tha
Yaado.n kii tasveer thi jaane kisne churaa lii

Aaj bhi bhuulaa nahi.n wo shararate.n saarii
Raat baDii Shareer thi jaane kisne churaa lii

Ye bhi sunaa hai tuu baDii khoob ghazal kahtaa tha
Khoob terii tahreer thi jaane kisne churaa lii

Bohot umr tere pyaar ka wo qaidii raha tha
Uskii jo zanjeer thi jaane kisne churaa lii

Shayar agar na hota..!!




Shayar agar na hota to kahiye mai.n kya karta
Apne junu.n se jaane kaise mai.n wafaa karta

Raahgiiro.n kii phabti chupchaap sunaa karta
Tere dar pe paDa hotaa marne kii duaa karta

Shahar kii deevare.n tere naam hii kar detaa
Har raat unpe jaane kyaa kyaa mai.n likha karta

Gar jo guzar jaata tere gham ka kaarwa.n ye
Insaaniyat ke apne kuchh farz adaa karta

Shukr hai ke mai.n to birahman na hua ‘Aamir’
Phir Jeete jii to jalta marr ke bhi jalaa karta