Tuesday, February 26, 2008

Manzar angaro.n ka...


Khwaab mei.n dekha hai phir manzar angaro.n ka
Kaghaz ka safeena oar samandar angaro.n ka

Kahdo mujhko aakhir kyo.n ho dar angaro.n ka
Mera nagar aag ka dariya, aor ghar angaro.n ka

Mai.n kya jaanu.n nikla tha kiski talaash mei.n
Aake siine pe gira jo, ye nishtar angaro.n ka

Neend tuujhe bhi aayegi, khwab suhane aayenge
Raakh tera bas hone ko hai, ye bistar angaro.n ka

Yaad bohot hii aaye.nge jitne ahal-e-jouhar they
Chehra jinka moam sa tha, Dil andar angaro.n ka
***********
Safeena=boat
Nishtar= lancet
Ahal-e-jouhar= Intelligent people

Kavish..!!


Iss jaha.n mei.n mere aashaane bohot kam hai
Iss tuute dil ke liye thikaane bohot kam hai.n

Tuu jo ruuth gaya to ek oar aas tuutegi
Mere jiine ke ab bahaane bohot kam hai.n

Meri tanhaaiya.n..

Mera piichha kyo.n kare hai.n rounaq-o- ranaiya.n
Kis moD pe rah gayi.n deku.n meri tanhaiya.n

Yaad hai mujhko guzre hai.n din kai eise kaThin
Mai.n akela hu.n khaDa oar saikDo.n parchhaiya.n

Teri aamad oar mai.n ho gaya ek khamosh but
Meri ghazlo.n se kahi.n tujhko na ho.n ruswaiya.n

Teri nazar jab jab paDi mujhpe to taDpa hu.n bohot
Zindgi tuu phir se kyo.n hai le rahi angDaiya.n

Soaz-e-suruur-e-gham kii hai ummeed bar_qaraar
Ab oar bhi kya laye.ngi abke baras purwaaiya.n

TaDap taDap key yu.n kis umr tak jiye.nge ham
Aaye din bechainiya.n, har Nasf_shab betaabiya.n

Tera mijaaz kab se ‘aamir’ shayrana ho gaya
Ke khwab mei.n bhi aaye hai.n Khayyam ki rubaaiya.n


Puuchhte ho ke haal kaisa hai...



Ye tumhara sawaal kaisa hai
Puuchhte ho ke haal kaisa hai

Uss pal thi kyo.n teri soach gum
Ab tujh ko malaal kaisa hai

Ulajhe se hai.n ham jaane kaha.n
Ye roaz-e-visaal kaisa hai

Mere dil mei.n to ishq zinda hai
Tere dil mei.n khayal kaisa hai

Kahate they jaao meri bala se tum
Ab ye ashk-e-shalaal kaisa hai

Aaj wo sharminda hai, dekho to
Us Khuda ka kamaal kaisa hai

Kya wo hai yahi.n kahi.n ‘aamir’
zakhmo.n mei.n ubaal kaisa hai
******

Shalaal=Waterfall
Visaal = Meeting

Talkh kahaani meri...

Mujh se mat puuchh tu talkh kahaani meri
Masal ke rakh di thi jisne zindgaani meri

Fanaa karke mujhe tumhi maruuf ho jao
Kuchh to kaam aajaye hasti-e-faani meri

Wo aaye hai.n oar meri mizaaj pursish ko
Zara dekhiye aankho.n mei.n hairani meri

Itni si baat pe kyo.n tum pashema.n raho
Bhuul jaao wo ek chhoti si qurbaani meri

Khouf-e-viraanapan mujhe kitna darata tha
Ab samajhta hu.n wo thi ek nadaani meri

Aks dekhta kyo.n hai...

Jo tujhe chhoD chale unko pukaarta kyo.n hai
Behate paani mei.n bata aks dekhta kyo.n hai

Aaiina tuuta hua, tujhe kya se kya bana dega
Sach bata yu.n mujh mei.n Jha.nkta kyo.n hai

mera jawaab tujhe ab us baat ko ek arsah hua
Wo sawaal ab-bhi mujh mei.n guunjta kyo.n hai

Na uska aashiya.n raha na ab wo shajar kahi.n
Aadhi raat mei.n ye pari.nda chehkta kyo.n hai

Oar koi kehde mujhse ‘aamir’ tuu aarzu apni
Ye Ibtisaam-o-ha.nsi mujhse maangta kyo.n hai

Guzre tere kuuche se...


Guzre tere kuuche se kitna sambhal sambhal ke
Phir bhi na maane aansu chhalke machal machal ke

Mai.n bhi to khamoshi se ye manzar dekhta hu.n
Phir unko roakta hai kyo.n dil nikal nikal ke

Kabhi bandish-e-biida, kabhi chahat-o-ulfat
Ye Zindgi pukaare chehre badal badal ke

Likkha to ek sa hai paDo suurate.n kabhi bhi
Mayne kyo.n hai.n badle apne amal amal ke

Umra paDi hai ‘aamir’ marne kii baat kyo phir
Dil rah gaya hai mera dekho dahal dahal ke

Wohi insaani bate.n...


Tuu bhi dil mere karne laga hai sayaani bate.n
Mujhse kehta hai bhula du.n wo puraani bate.n

Jo mere lafz loate to sadaa matlab badal gaye
Muskuraya karta hu.n sunke ye sailaani bate.n

Yaad to aaya hoga tujhe wo dariicha kabhi kabhi
Karte they jaha.n paharo.n ham deewaani baate.n

Koi roako to mujhe ke itna bhi koi behakta hai
Kabhi anjaani bate.n to kabhi be-maani baate.n

Tumse garmjoshi ki ummeed kabhi thi bhi nahi.n
Par eisi bhi kyo.n karte ho barfaani baate.n

Ye na-muraad roag kab se laga ‘aamir’ ye bata
Tuu bhi karne laga hai ab wohi insaani bate.n

Monday, February 25, 2008

Faasla baaqi hai abhi...


Mere iss dard ka silsilaa baqi hai abhi
Dil mei.n magar housalaa baaqi hai abhi

In parindo.n kii parwaaz bata rahi hai ye
Ke ek oar koi zalzalaa baaqi hai abhi

Kis ke sahaare hai ye dharti tiki hui,
Lagta hai ke sach kii balaa baaqi hai abhi

Kyo.n mere dil mei.n ek hook utthi hai
Koi to chashm-e-mubtalaa baaqi hai abhi

Mehfil tamaam karte ho zara suno munsif
Mere gunaaho.n ka faisalaa baaqi hai abhi

Kuchh din oar yu.n hii apna faasla rahe
Ekhlaas ka ek bulbulaa baaqi hai abhi

Teri ye uljhan ‘aamir’ bayaan karti hai
Dil-o-dimaagh ka wo faaslaa baaqi hai abhi

Chaandi kii zuba.n..


Pyaar ke bol ab koun yaha.n suntaa hai
Ye zamana to chaandi kii zuba.n suntaa hai

Wo waqif tha ke teraa jawaab kya hoga
Suntaa hai to tarz-e-baya.n suntaa hai

Barso.n se khamosh wo akela shajar
Bas guzarte hue karwaa.n suntaa hai

Uss bewa ke bhuke bachcho.n kii pukaar
Zami.n sunti hai na aasma.n suntaa hai

Tum bewafaaii ka hoale se zaraa zikr karo
Ye haadse to dil-e-natwa.n suntaa hai

Koi vaardaat hoti hai...


Jab mere dil ki mujh se baat hoti hai

Raat se subah, subah se raat hoti hai.
***

Zindgi bazi-e-wahshat kii bisaat hoti hai

Jazbato.n mei.n bhi sheh ya maat hoti hai
***

Khud ko samajhne mein lage itne zamane

Bahot kam dosto.n se mulaqat hoti hai.
***

Kyo.n aata hai baar baar zikr-e-tanhai

Mere sang yado.n kii ek jamaat hoti hai
***

Dam bhi nikale uska to awaaz na nikle

Rasan-war* ki bass ye ahtiyaat hoti hai
***

hu.n mai.n khalwat-o-bekalii ka mureed

Kya jaanu.n, kya rasm-e-hayaat hoti hai
***

Ka.npta hu.n mustaqbil soach kar apna

Kuu-e-diigar jo koii vaardaat hoti hai
***

Jamaat=team

Rasan-war=used for 'hangman' here

*Khalwat=isolation

Bekalii=restlessness

Hayaat=life

Mustaqbil=future

Kuu-e-diigar=others' street

Ek Shayar tha...


Ek shayar tha, uske ghar mei.n kya mila
Ek bistar silwate.n, bhiiga hua takiya mila

Ek mera dil hii tha jo tha apna hamkhyal
Dekhiye wo dost bhi, dushmano.n se ja mila

Dard-shanaasa, fughaan-e-aalam, Huuk-wali
Har shahar mei.n, ek naam mujhe naya mila

Us ke jazbato.n ko na bahr-e-fanaa kahi.n
Aankho.n mei.n jiski ek thahra hua dariya mila

Pehchan kise, oar maraasim ka kya saval
Mujhko to jo bhi shaks mila, Behruupiya mila
*****
Fughaan=tears of pain
Dard shanaasa=who is familiar with pain

Ek khamosh sa lamha hu.n...


Ek khamosh sa lamha hu.n guzar jau.nga
Chaand sitaro.n ki, kisi rahguzar jau.nga

Thaam bhi le tuufan-e-havadis e khuda,
Tuuti hui nafs-o-ja.n hu.n, bikhar jau.nga

Baitha hu.n bas ek sehar kii aas lagi,
Ghup andhera hai, andhere mei.n kidhar jau.nga

Tum kyo.n subakte ho mere gham-e-hayat
Saath le jau.nga tumhe, mai.n agar jau.nga

Na roako, mujhe apni ghami sunane ko
Bohot thak chala hu.n, ke ab ghar jau.nga
******

Havadis=misfortunes
Nafs= soul

Kya aise taakta hai o aasma.n mujhe...


Kya aise taa_kta hai, o aasma.n mujhe
Pahle nahi.n dekha kya paresha.n mujhe

Kaha.n wo gulista.n, kaha.n jangal babool ke
Waqt laya hai ye kaha.n se kaha.n mujhe

Dour chahe ghami ka, ya shaadmaan ho
Paoge tal-e-darakht yahi.n giriya.n mujhe

Naam leke tera uth_ti hai.n Jo jaanib meri
Chubhti hai.n siine mei.n wo ungliya.n mujhe

Chhup raha jis roaz, kaf-e-khaak oat mei.n
Chahoge to bhi, Dhuundoge phir kaha.n mujhe
***
Shaadmaan=happy
Kaf-e-khaak= some dust

Noor...!!


tum ne jaha.n likha wo kaghaz kaha.n raha..

rango.n ka ashiyana wo kaghaz kaha.n raha..

***

uss warq pe jo teri qalam bahi to kyaa kahe.n

uss mei.n mera aks dikha wo kaghaz kaha.n raha..

Iss baar kii barish...


Mere sulagte dil pe koi pyaar ki barish
Layee hai naya rang iss baar ki barish

Hum bhi karte rahe.n izhaar ki barish
Tum barsaate raho jana.n iqraar ki barish

Is mehfil ka nahi.n koi anjam ai “aamir”
Yu.n hi chalti rahe ye ash-aar ki barish

Saturday, February 23, 2008

Yado.n ke panchhii...


Khushk honth mere oar ashk zar zar behte hai.n
Kya batau.n tumhe mujhse kya kya kahte hai.n
***
ud ud ke loat aate hai.n, hame.n sone nahi.n dete
teri yado.n ke panchchhi mere chhajje pe rehte hai.n
***
Masruuf shahar hai, yu.n to koi na puuchhega pataa
koi poochhe to kah dena, unki chahat mei.n rahte hai.n

***

Kahaa kyaa hai..


Tum ye jo kahte ho ke abhi kaha kya hai

Zara nazro.n kii suno , kahne ko raha kya hai

******
Zamaane bhar mei.n deevano.n se phira karte hai.n

Tere khwabo.n mei.n bhii aa jaye.n to khata kya hai

Duniya e hasrat e dil...


Duniya e-hasrate dil suuni tere baghair
Har rang shoq-o-mehfil suuni tere baghair

Tuu nahi.n to har simt viiraana hai
Meri har-ek manzil suuni tere baghair

Gham mujh pe hanste hai.n...



Tujhe dekhne ko jaana hum jitna tarste hai.n
Naghme ye rote rote mere dil se barste hai.n

Jin ko siine se lagaya tha umr bhar ke liye
Wo hi gham aaj mujh pe hanste hai.n

Teri Suurat...



Roz jab bhi ye sham dhalti hai
Apni tabiyat nahi.n sambhalti hai

Unko dekhu.n to aa jaye qaraar
Nazar ziddi hai, ye machalti hai

Koun kehta hai, tumsa nahi.n zamane mei.n,
Teri suurat tere aaine se milti hai

Aankhe.n patthar ho gayi.n..


Aankhe.n patthar ho gayi.n , ansu dhua.n hue
E dil tere chahne wale to they, kya hue

Khwab jitney dekhe they sunhare rang ke,
Mere khuda bata, kyo.n sab syah syah hue

Mai.n bhi to dekho khud se juda-juda raha
Jab se mere pyare tum mujhse juda hue

Tuute dil sii, awaaz bhi to tuut gayi
Ashk-e-gham se hii afsaane baya.n hue

Chaand jaise badnuma saa lagta hai
Tere bin sitare bhi to syah syah hue

Bure waqt mei.n zuba.n bhi saath nahi.n deti
Alfaaz kuchh kahe, oar kuchh baya.n hue

Jo apne hokar bhi rahe kachchi neend ke sapne
Raat bhar mile oar din mei.n juda hue



Muh chuupa ke ro diye....


Wahshat hui ye kaisi, ghabra ke ro diye
Apna tha jata saya, dekha ke ro diye

Sar-e-rah chalte chalte kai rate.n guzar gayi.n
Ek subah manzil ko dekha ke ro diye

Yu.n apne gham bohot they, ta-umr rone ko
Kisii ki suni aah to, karah ke ro diye

Kuchh na kah sake Mahv-e-safar se hum
Fasiil-e-shahar ko, ungli utha ke ro diye

Sang Rone waale ke zamaana nahi.n rota
Socha, oar muh chhupa ke ro diye


************
Mahv-e-safar= Traveller
Fasiil-e-shahar= wall of city

Wo Behis khaDa tha...


Usne aansu piye they barso.n tak
Jab wo roya to roya sadiyo.n tak

Unn ashko.n ko kab tak roke.n
Jo aake thame hai.n palko.n tak

Safar arsah-e-hayaat hai ye
Tere wado.n se teri yado.n tak

Tumhi le jao pagham-e-shafaq
Tumari pohon.ch hai mahalo.n tak

Khoob dekhi husn-e-talaafi teri
Ashk bhi aaye nahi.n ankho.n tak

Tum to dil ki kahke chale aaye
Wo behis khada tha pahro.n tak
--------------------

Arsah-e- Hayaat=Lifetime
pagham-e-shafaq= message for favour
Husn-e-talaafii=Beautiful Way Of Forgiveness
Behis= stunned, shocked

Wo Aashiya.n...


Tinke tinke chunke Jis ghar ko banaya tha,
Jis khwab ko hazaro.n rango.n se sajaya tha

Wo aashiya.n jise bade dil se banaya tha
Jabr-e-musalsal barso.n, aman kada paya tha

Lahoo se siincha tha jiss darkht ko aamir
Hay !! kyo.n mera saya na ban paya tha


-------------------------
Jabr-e-musalsal= Continuous Striving
aman kada= House Of Jasmine Flowers

Friday, February 22, 2008

Hichkiya.n....


Itna bhi kyo.n tumne yaad kiya mujhko

Umr bhar aati rahi.n jo hichkiya mujhko

------------





Wo jo chale ke pan_pe aalam se raabta

Paaya hamesha Pakh-e-darmiya.n mujhko

-------------





Uss din khuli thi jo boo-e-ishk ke liye

Reh reh ke bulati hai.n wohi khidkiya.n mujhko

-------------





Jinse Chhupaate the_y tere gajre ke phoolo.n ko

Kitna ChiDatii hai.n wohi titliya.n mujhko

------------------





Oar nahi.n jo zamane mei.n chahne wala

Kyo.n na farhat-za ho meri tanhaiya.n mujhko

------------------





Sirf-uss talkh lamhe ko yaad na kar “aamir"

uss zaalim ne Ekhlaas bhi bohot diya mujhko


-----------------------

(pakh=obstacle, raabta =relation, Ekhlaas = love, farhat-za= adorable)

kya tujhe aaj bhi yaad hai...


kya tujhe aaj bhi yaad hai
sabse pahle mile they kaha.n
kab kiya tha izhar-e – mohabbat mai.ne

sabse pahle kya likha tha maine tujhko
sabse pahla mera tohfa kyat ha

wo jo din raat hum tadapte they
baat karne ko jab hichakte they
phir bhi roz milna chahte they
taro.n ke saath jagte they

kaon se din the hamare mahke mahke se
oar koun se din apne dahke they

kis din hum hanste hanste roye the
kis roz apne aansuo.n pe hanse the hum

kya apne rishto.n mei.n wo hii chamak baaki hai
ek dooje ke liye wo hi kasak baaki hai

aao uss waqfe ko phir se yaad kare.n
oar phir naye ishq ka aaghaaz kare.n

Shaakh se Tuuta....


Zinda hu.n jab tak khuda kaa aasraa rahe
Shaakh se tuuta patta kab tak haraa rahe

Zindgi meri bhale khwar ho, na-daar ho
Dair-e-raqiib, to khushi se Bharaa rahe

Chahat –e-Dard ki illat padi hai yu.n
Dard-e-dil rahe par zara zaraa rahe

Gham ne, mere dil pe qabza kya hai kul
Fikr-o- khayal kaise, yaha.n duusraa rahe

Zindgi tujhse mai.n bhagta hu.n yu.n
Apne hi saye se koi bachcha Daraa rahe
---------------------
Na-daar=poor

Taghaful.....







********
*****
Iss taghaful se kyo.n dil tuuta hai
Jo tujhe ghair kahe jhootha hai

Yahi.n sham dekhi oar savere dekhe
Ziindgi ke ujaale oar andhere dekhe
Jo tujhe ghair kahe jhootha hai

Jo Gujarat Jala tuu na soya tha
Kashmir ke halat pe, na roya tha ?
Jo tujhe ghair kahe jhootha hai

Parstish ke, tarane aman ke
Tune bhi gaye tarane watan ke
Jo tujhe ghair kahe jhootha hai

Jitna tuu janta hai, Allah ke naam ko
Utna hii pada hai tuune Raam ko
Jo tujhe ghair kahe jhootha hai

Mulq apna, dost apne hai.n
apno se kyo.n rootha hai
Jo tujhe ghair kahe jhootha hai

naqsh-e-pai miTata raha....


apne Sair-e-Zindgi sab nibhata raha
Aatish-e-pinha.n thi, wo jalata raha

Teri suurat kitna daraati hai Zindgi
Tujhko naqabo.n mei.n Chhupata raha


Raah itni kathin hogi socha na tha
Ruk ruk ke naqsh-e-pai miTata raha


Jan kar Talkhii-e-zindgi hii haqiqat hai
Jo bhi tha, Dil ka malal jata raha


-----------------------
Sair-e-zindgi=duties of life
Aatish-e-pinha.n=hidden fire
Naqsh-e-pai=footprints
Talkhii-e-zindgi=bitterness of life

Sust - rau....


Zamane kii raftaar bohot tez hai mujhse
Mai.n tum sab ke saath na chal pau.nga
ek Sust - rau hu.n mai.n
aaj ke zamane mei.n


Yahi.n iss zareef darkht ke neeche choD jao mujhko
Yahi.n Chabutre par baitha sustaunga kuchh

Dekhu.nga nai naslo.n ko baDte hue
Koi Salam hoga to
Dua yahi.n se duunga,
Hath hila kar , duur tak jaata dekhu.nga sabko.

Yaad karu.nga yahi.n baitha
Apne bachpan ko,
Har subah jab mai.n bhi udta tha
Bilkul be-wajah sach mei.n

Ye peD tab naya sa tha
Isko tab bhi mei.n apna sa samajhta tha


Mujhe yahi.n choD do iss Zareef Darkht ke neeche
Mera hum-umr yahi to hai….
----------------------------------
Sust - rau = slow speed

Gumsum...


Kucch kehna chahta hu.n
Magar kuchh oar kehta hu.n

Apne hii ghar mei.n kyo.n
gumsum sa rehata hu.n

ye mujh se na puuchho tum
kyo.n madhosh phirta hu.n

Asr-e-visaal hai ye to,
tumse ye raaz kahta hu.n

Dard...


Siine mei.n dard sa rehta kyo.n hai
Oar phir itni karvate.n leta kyo.n hai


Uff uska andaz-e-takalluf to dekhna
Dua–e-Shifa-e-Dard bhi deta kyo.n hai


Mai.n khush hu.n ke afsos-zada rahu.n
Har waqt qatra-e-diid ye behta kyo.n hai


Usko shikwa bas yehi raha mujhse
Koi shikwa hai tujhe, to kehta kyo.n hai


Ab Teri khata kahu.n, ya ameer-e-shahar kii
Dard hota hai agar itna to sehta kyo.n hai

Musafir...

Khayalo.n ke kuchh musafir aate hai.n
Ek saraay hai, zehan kii waha.n Theharte hai.n


Kuchh aage baD jate hai.n, apne raste,
Kuchh yahi.n basawat karte hai.n,
Yahi.n reh jaate hai.n

Wo musafir phir dheere dheere,
Apne se ho jate hai.n

Bekhayali mei.n wo musafir khayal,
Meri zuba.n ho jate hai.n

Pakiiza rukh ...


Paakiiza rukh hai jiska shiimaab sa
Usko paya dil mera mehka gulaab sa

Ada to dekhiye bismil hue hai.n sab
Koi nahi.n mehfil mei.n in janaab sa

Zulf bhiigi hui jo shano.n pe aayi hai
Ek Khumar chaD gaya jaise sharaab sa

Jisne nahi.n paDa, kuchh to kho diya
Chehra lage hai uska sadiq kitaab sa

Jis roaz teri ek jhalak bhi na pa saka
Wo din mujhe laga tha ghark-e-azaab sa

Hamaaqat kaho junuun kaho maftoon kaho
Mera dil-e-makhmoor hai qamyaab sa

Aaj mehfil aashiqana jo hui ‘aamir’
Tere siine mei.n bhi utha ek sailab sa

Nithari...


insaniyat par daagh...

Haay mai.n kaha.n tha jab wo masoom cheekhte ho.nge
Uss haivaniyat ke haath jab khoon se sane ho.nge

Kya wo deevare.n bhi larazi ho.ngi
Wo chhate.n bhi charmarai ho.ngi
Jab wo ghighyati awaaze.n
Unse takraai ho.ngi
Haay uss shaitan ke kya haath na ka.npe ho.nge
Jab wo nazuk gale usne rete ho.nge

Haay mai.n kaha.n tha jab wo masoom cheekhte ho.nge
Uss haivaniyat ke haath jab khoon se sane ho.nge

Chhatpataate hue jin bachcho.n ne dam toDa hoga
Unki mao.n ne kaha.n kaha.n apne lalo.n ko dhunda hoga
Haay abhi to yahi.n khelta tha !!
Kah kah ke chhaati ko peeta hoga !!
Haay apne nanho.n ke kapDe utha utha ke kaise Dekhe ho.nge

Haay mai.n kaha.n tha jab wo masoom cheekhte ho.nge
Uss haivaniyat ke haath jab khoon se sane ho.nge

Ya ilahi tuu bhi apni khudaii pe khoob hii roya hoga
Ye manzar dekh ke tuu bhi to taDpa hoga
Tere farishte bhi tab se khamosh se rehte ho.nge

Haay mai.n kaha.n tha jab wo masoom cheekhte ho.nge
Uss haivaniyat ke haath jab khoon se sane ho.nge

Maraasim...


Teri yaado.n ke siwa mujhe kuchh aata nahi.n to kya
Ye Maraasim to wahi.n hai.n, tuu nibhata nahi.n to kya

Ye ashq-o-malaal zinda mere zehan ko rakhta hai
Mere siine kii koi aag jo bujhaata nahi.n to kya

Saari baate.n uske chehre ka libaas kehta hai
Apne ahsaas-e-pinha.n wo jatataa nahi.n to kya

Dard usko bhi hua lakarhaare uski chiikh sun
Ped chandan ka gar chhat-patataa nahi.n to kya

Tujh ko ‘aamir’ usne quvvate.n tamam bakhshi hai.n
Tuu jo kabhi khud ko aazmataa nahi.n to kya

Guzre hue lamhe...


Guzre hue lamho.n ke warq kholta mila
Jo bhi mila mujh mei.n kami tatolta mila

Jiske haatho.n mei.n kabhi phuul de ke aaya tha
wo Dast-e-paa mei.n patharo.n ko tolta mila

Jispe bharosa kiya tha wo mera chara-jaa.n
Mere ta’aam mei.n hii zahar gholta mila

Jisko kehte they aaiina-e-sanjiidgi sabhi
Sare-raah wo mast mustaqil bolta mila

Bhuula wo qasam jo tuune dii thii ‘aamir’
Aaj bhi ye dil uske hii gird dolta mila

Qafas Shehara...


Uski tasveer siine se lagataa kyo.n tha
Har shaam tuu ashq bahataa kyo.n tha

Wo parinda jiski umr thi parwaaz-o-udaan
Qafas Sunehra usko bulataa kyo.n tha

Ek musafir jo pahle kabhi mila bhi nahi.n
wo apna haal-e-dil sunataa kyo.n tha

Jo tera tha oar naa ho sakaa kabhi tera
Uska e dil tuu sog manataa kyo.n tha

Jiske diye zakhm kabhi soye hii nahi.n
Uska khyaal mujhko jagataa kyo.n tha

Khanjar liye phirta hu.n...

Dil mei.n aaj bhi wo manzar liye phirta hu.n
Apne siine mei.n ek khanjar liye phirta hu.n

Uss roaz jo ek ghoonT piyaa tha mai.ne
Rago.n mei.n ab bhi wohi zahar liye phirta hu.n

Jo suukhta bhi nahi.n oar chhalakta bhi nahi.n
Apni aankho.n mei.n wo bahar liye phirta hu.n

Tere shahar mei.n mehfooz kaha.n maal-asbaab
Ye ghanimat hii hai ke sarr liye phirta hu.n

Apne bachho.n se sambhale hai.n tere shikwe
Sang in ko shaam-o-sahar liye phirta hu.n

Jab wo tuuta to mujhe kitna apna saa laga
Tab se mutthi mei.n ye akhtar liye phirta hu.n

Oar kya hogi ‘aamir’ zabar-e-azaab ki hadd
Phir bhi mai.n khouf-e-mahshar liye phirta hu.n

Khabar nahi.n....

Mere dil ne dii sada, usne sunaa, khabar nahi.n
Mai.ne kaha tuu paas aa, usne sunaa, khabar nahi.n

Meri saans jab bhi chali, ye hi kahaa usne sada
Tuu hai meri dilrubaa, usne sunaa, khabar nahi.n

Har simt hai dhua.n dhua.n, chhai ghataa haath baDa
Tujhko khuda ka wasta, usne sunaa, khabar nahi.n

Mai.n hu.n aakhir zindgi...


Behak raha hu.n zindgi aakar zaraa tuu thaam le
Mujhko bhi dede sukuu.n tuu bhi zaraa aaraam le

Meri har ek shaam guzri uljhano.n ke saath hii
Har subah aayii hai phir ek garidh-e-ayyaam le

Mujhko de koi to namaa muh chhupa jata hai kyo.n
Aa zaraa basheer kahde aaya hai kya paighaam le

Jo sadaa-e-waqif ho to surr milaate hai.n sabhi
Wo zuba.n milti nahi.n gum-naam ka jo naam le

Kah rahi hai.n mujh se ‘aamir’ ye meri bechainiya.n
mai.n hu.n aakhir zindgii tuu to sabar se kaam le

Garidh-e-ayyam-wheel of time
Namaa-letter
Basheer-messanger
Sadaa-e-waqif –known voice

Hunar na jaaye kahi.n...


Dard ye hadd se guzar na jaaye kahi.n
Dil kii dhaDkan thahar na jaaye kahi.n

iss darja takraati hai.n aahe.n dekho
Ye aasama.n bikhar na jaaye kahi.n

Kitna dabe paa.nv subaah aatii hai
Shab-e-makhmoor darr na jaaye kahi.n

Ab bahaare.n kabhi loat ke na aaye.ngi
Meri qismat sa.nwar na jaaye kahi.n

Wo beraham khyaalo.n mei.n aate rahe
Meri ummeed marr na jaaye kahi.n

Muddate.n ho gayii.n wo choD gayaa
Par yaad-e-sitamgar na jaaye kahi.n

Hans hans ke raahjan se ye kahta raha
Apne hatho.n ka hunar na jaaye kahi.n

Khwaab Sunhare...

**********************************
Pher ke jaate ho yaaro.n apne chehre kaha.n
Mere sawalaat ye itne bhii hai.n gahre kaha.n

Buu-e-ishq ke jhonke be-rok uDe hai.n phir bhi
Inn havaao.n pe bhala hote hai.n pahre kaha.n

Ye parinda apni parwaaz mei.n hii khush kyo.n hai
Be-had dasht hai wo thahre bhi to thahre kaha.n

Wo ibaarate.n zehan mei.n aaj tak bhi paDta hu.n
Bhuul paau.nga kabhi ghamzada se chehre kaha.n

Mere iss khaali paimaane ka raaz kyaa puuchho
Khabar nahi.n wo Khawab chhalke sunehre kaha.n

Amavas kii raat...

raat amavas kii oar mahtaab dhundne nikla
apna koi gumshuda arbaab dhundne nikla

Sansat se nikal ke azaab-e-ishq kii dekho
ab mai.n phir koi naya azaab dhundne nikla

un ghamo.n kii chandni aangan mei.n bikhri hai
ab ye bataa kise dil-e-betaab dhundne nikla

unn chashm-e-mast kii mujhe illat hai iss qadar
jaise koi makhmoor sharaab dhundne nikla

Ye loag diivana keh keh ke kyo.n ha.nsa kiye
kya ghalat ke dasht mei.n gulaab dhundne nikla

jo zehan mei.n rahe iss seene pe qalam band kiye
kaise kaise sawalo.n ke jawaab dhundne nikla

rakh ke apne tajurbo.n kii kitaabe.n machaan par
Nayii pod mei.n roaz-e-shadaab dhundne nikla

Zarre kii hasti kya hogi...


Iss zehan kii ab oar tang-dastii kyaa hogi
Kam khayaalii ki ye viraan bastii kyaa hogi

Jisko paDke kehte hai.n ke ham sa nahi.n koi
Sochiye to uss Ghalib kii hasti kya hogii

Uski zuba.n pe jaane koun nasheen rahaa
Ab Khusro ki sii khuda-parasti kya hogii

Wo pankhaDi gulaab kii aaj bhi mehkti hai*
Kul Gulshan-e-Meer kii masti kya hogii

Khud pe kabhi guma.n na kariyo ‘aamir’
Tujh se zarre kii kahde hasti kya hogii


*please refer famous sher of meer….
Naazukii us ke lab kii kyaa kahiye

pa.nkha.Dii ik gulaab kii sii hai

Khamosh...

chaand khamosh sitaare khamosh Raat khamosh hai
jab se khamosh hai tuu ye kaaynaat khamosh hai

tum kyaa gaye mere lafz bhi gumshuda se ho gaye
Mai.n gumsum sa hu.n har jazbaat khamosh hai

wo haadse yaad hai.n mujhe ke tham gaya hoga
khuda bhi dekhkar ke aalam-e-bisaat khamosh hai

Tyohaar se pahle dhamaake kii guunj sunaaii deti hai
Taqalluf kii khushi hai oar nishaat khamosh hai

Palak bhi wo jhapke.n to awaaz sunaai de mujhko
Wo Baat karte hai.n iss lehja ke baat khamosh hai

diye they haath do, ab uska matlab samjh e bashar
wo haath zulm kare to kyo.n ye haath khamosh hai

Khamosh reh tuu apne farz adaa karta chal 'aamir'
Jumbish-e-zami.n- o-paida-e-zaraat khamosh hai
-

Chiraagh le ke chalaa...

Apni hatheli par kal raat aag le ke chalaa
Suuraj kii talaash thi chiraagh le ke chalaa

Subah se shaam tak uzr-e-jafaa koi na milaa
Andhere ki oat mili apne daagh le ke chalaa

Dard kyaa hota hai us baavri se puuchho tum
Farishta maut ka jiska suhaag le ke chalaa

Unke qaol par phir mai.ne bharosa kar liyaa
Unke ahad ka phir sabz baagh le ke chalaa

Safar dushwar ho to ‘aamir’ koi apna na mile
Jab bhi chalaa do mutthi bhaag le ke chalaa
*******************************
uzr-reason
bhaag- (bhagya, luck)

Shams ugaae.n chalo



In andhero.n ko kuchh iss tarah jagae.n chalo
Har moD pe kyo.n naa shams ugaae.n chalo

Iss zami.n pe sajde se pahle kare.n farz adaa
Apne hii khu.n se ek baar to nahaaye.n chalo

Naam gunjegaa sada in wadiyo.n mei.n apna
Aao shaheedo.n mei.n bhi naam likhaye.n chalo

Ek subah Jo pohonchegi khuloos kii basti tak
Apne bachcho.n ko wo raah dikhaye.n chalo

Valvale hai.n aazmaye hue...

Lo zindagi se Chot khaaye hue
Chale jaate hai.n sar jhukaye hue

Unn houslo.n kii baat kyaa kahiye
Wo valvale hai.n aazmaaye hue

Unki khastgii kii hadd hai kaha.n
Jo azeezo.n ke hai.n sataaye hue

Aaine mei.n paD lu.n ibarat in kii
Ashq chehre pe jo hai.n aaye hue

dour-e-gardish oar dard TooT paDe
jane kiske hai.n ye sikhaye hue

Phir subah hui phir aghaaz-e-safar
Chale zakhmo.n ko phir bhulaaye hue

Kya safar hai ke galaa khushk rahaa
Na darkhto.n ke kabhi saaye hue