Monday, February 25, 2008

Koi vaardaat hoti hai...


Jab mere dil ki mujh se baat hoti hai

Raat se subah, subah se raat hoti hai.
***

Zindgi bazi-e-wahshat kii bisaat hoti hai

Jazbato.n mei.n bhi sheh ya maat hoti hai
***

Khud ko samajhne mein lage itne zamane

Bahot kam dosto.n se mulaqat hoti hai.
***

Kyo.n aata hai baar baar zikr-e-tanhai

Mere sang yado.n kii ek jamaat hoti hai
***

Dam bhi nikale uska to awaaz na nikle

Rasan-war* ki bass ye ahtiyaat hoti hai
***

hu.n mai.n khalwat-o-bekalii ka mureed

Kya jaanu.n, kya rasm-e-hayaat hoti hai
***

Ka.npta hu.n mustaqbil soach kar apna

Kuu-e-diigar jo koii vaardaat hoti hai
***

Jamaat=team

Rasan-war=used for 'hangman' here

*Khalwat=isolation

Bekalii=restlessness

Hayaat=life

Mustaqbil=future

Kuu-e-diigar=others' street

3 comments:

Preeti said...

bahut accha likha hai veer ji.. kuch march ke liye bhi chod dou :P

Aamir said...

Thanks preeti...ye pichhli ghazle.n hai sabhi,
March mein. nayii ghazle.n hii post karu.nga...:P

jasii jaisi koi nahin said...

Khud ko samajhne mein lage itne zamane

Bahot kam dosto.n se mulaqat hoti hai.

amir ji aise lagta hai jaise apki ey ghazal mere hi hallaat paish kerti hai....apki ak ak ghazal ko bar bar padhne ko man ho jata hai amir ji