Friday, February 22, 2008

Khanjar liye phirta hu.n...

Dil mei.n aaj bhi wo manzar liye phirta hu.n
Apne siine mei.n ek khanjar liye phirta hu.n

Uss roaz jo ek ghoonT piyaa tha mai.ne
Rago.n mei.n ab bhi wohi zahar liye phirta hu.n

Jo suukhta bhi nahi.n oar chhalakta bhi nahi.n
Apni aankho.n mei.n wo bahar liye phirta hu.n

Tere shahar mei.n mehfooz kaha.n maal-asbaab
Ye ghanimat hii hai ke sarr liye phirta hu.n

Apne bachho.n se sambhale hai.n tere shikwe
Sang in ko shaam-o-sahar liye phirta hu.n

Jab wo tuuta to mujhe kitna apna saa laga
Tab se mutthi mei.n ye akhtar liye phirta hu.n

Oar kya hogi ‘aamir’ zabar-e-azaab ki hadd
Phir bhi mai.n khouf-e-mahshar liye phirta hu.n

2 comments:

Preeti said...

ye misra gahzab ka hai


Apne siine mei.n ek khanjar liye phirta hu.n


aur maqte ka jawaab nahi... bahut khoob ver ji.. tussi tou cha gaye.. autograph advance mae de dou.. :P

Aamir said...

thanks
lelo first autograph...phir nahi.n kehna , baad mei.n bheed baD sakti hai...lol...