Friday, February 22, 2008

Valvale hai.n aazmaye hue...

Lo zindagi se Chot khaaye hue
Chale jaate hai.n sar jhukaye hue

Unn houslo.n kii baat kyaa kahiye
Wo valvale hai.n aazmaaye hue

Unki khastgii kii hadd hai kaha.n
Jo azeezo.n ke hai.n sataaye hue

Aaine mei.n paD lu.n ibarat in kii
Ashq chehre pe jo hai.n aaye hue

dour-e-gardish oar dard TooT paDe
jane kiske hai.n ye sikhaye hue

Phir subah hui phir aghaaz-e-safar
Chale zakhmo.n ko phir bhulaaye hue

Kya safar hai ke galaa khushk rahaa
Na darkhto.n ke kabhi saaye hue

2 comments:

Preeti said...

awesome veer ji... gahzab likha hai!!!!!!!!!!

wo ek poem rah gayi humari fav... panchii waali. jismae teen sheir thae.. kabhi wo huamre desktop ki theme thi :P

Aamir said...

thankz....preeti...
yaar kai din mei.n itna kaam hua hai...mai.n sust-rau jo hu.n...

wo sher bhi dhundta hu.n...kavish ko bhi bohot pasand hai....