Friday, February 22, 2008

Mai.n hu.n aakhir zindgi...


Behak raha hu.n zindgi aakar zaraa tuu thaam le
Mujhko bhi dede sukuu.n tuu bhi zaraa aaraam le

Meri har ek shaam guzri uljhano.n ke saath hii
Har subah aayii hai phir ek garidh-e-ayyaam le

Mujhko de koi to namaa muh chhupa jata hai kyo.n
Aa zaraa basheer kahde aaya hai kya paighaam le

Jo sadaa-e-waqif ho to surr milaate hai.n sabhi
Wo zuba.n milti nahi.n gum-naam ka jo naam le

Kah rahi hai.n mujh se ‘aamir’ ye meri bechainiya.n
mai.n hu.n aakhir zindgii tuu to sabar se kaam le

Garidh-e-ayyam-wheel of time
Namaa-letter
Basheer-messanger
Sadaa-e-waqif –known voice

2 comments:

Preeti said...

esmae eka lag he rawaani hai... bahut he umda kalaam hai.. start bahut accha liya hai.. cheers!!!

Aamir said...

thanks a lot preeti...ye matlaa pasand hai mujhe...!!