Tuesday, February 26, 2008

Meri tanhaaiya.n..

Mera piichha kyo.n kare hai.n rounaq-o- ranaiya.n
Kis moD pe rah gayi.n deku.n meri tanhaiya.n

Yaad hai mujhko guzre hai.n din kai eise kaThin
Mai.n akela hu.n khaDa oar saikDo.n parchhaiya.n

Teri aamad oar mai.n ho gaya ek khamosh but
Meri ghazlo.n se kahi.n tujhko na ho.n ruswaiya.n

Teri nazar jab jab paDi mujhpe to taDpa hu.n bohot
Zindgi tuu phir se kyo.n hai le rahi angDaiya.n

Soaz-e-suruur-e-gham kii hai ummeed bar_qaraar
Ab oar bhi kya laye.ngi abke baras purwaaiya.n

TaDap taDap key yu.n kis umr tak jiye.nge ham
Aaye din bechainiya.n, har Nasf_shab betaabiya.n

Tera mijaaz kab se ‘aamir’ shayrana ho gaya
Ke khwab mei.n bhi aaye hai.n Khayyam ki rubaaiya.n


2 comments:

jasii jaisi koi nahin said...

behtreen ghazal hai ye....per amir ji apne isme rediff use kyu nai kiya?...anamica

Aamir said...

Achchha Anamika ho...!!
thanks anamika...

and very good question..!
[:)]

ismei.n Radeef nahi.n hai, ise be-radeefi ghazal ya Ghair-muraddaf ghazal kahte hain....