Saturday, February 23, 2008

Yado.n ke panchhii...


Khushk honth mere oar ashk zar zar behte hai.n
Kya batau.n tumhe mujhse kya kya kahte hai.n
***
ud ud ke loat aate hai.n, hame.n sone nahi.n dete
teri yado.n ke panchchhi mere chhajje pe rehte hai.n
***
Masruuf shahar hai, yu.n to koi na puuchhega pataa
koi poochhe to kah dena, unki chahat mei.n rahte hai.n

***

4 comments:

Preeti said...

humari favouriteeeeeeeeeeeeeeeeeeee padh ke il kush hou gaya... :)

m feeling soo goof after reading u..

Aamir said...

thanks...
ye kavish ko bhi bohot pasand hai...
bohot pahle likha tha ye jab Jaipur mei.n hii tha...

jasii jaisi koi nahin said...

waoooooooooooo amir ji panchhiyon ke oper likhna kitna acha lagta hai or apne kitna cha likha hai ji....

Aamir said...

thanks anamika..:)