Tuesday, February 26, 2008

Wohi insaani bate.n...


Tuu bhi dil mere karne laga hai sayaani bate.n
Mujhse kehta hai bhula du.n wo puraani bate.n

Jo mere lafz loate to sadaa matlab badal gaye
Muskuraya karta hu.n sunke ye sailaani bate.n

Yaad to aaya hoga tujhe wo dariicha kabhi kabhi
Karte they jaha.n paharo.n ham deewaani baate.n

Koi roako to mujhe ke itna bhi koi behakta hai
Kabhi anjaani bate.n to kabhi be-maani baate.n

Tumse garmjoshi ki ummeed kabhi thi bhi nahi.n
Par eisi bhi kyo.n karte ho barfaani baate.n

Ye na-muraad roag kab se laga ‘aamir’ ye bata
Tuu bhi karne laga hai ab wohi insaani bate.n

2 comments:

jasii jaisi koi nahin said...

Tuu bhi dil mere karne laga hai sayaani bate.n
Mujhse kehta hai bhula du.n wo puraani bate.n

amir ji hum tarif yu hi nahin ker rehe ye ghazal kuch tarha se bhi jab admi bilkul akela hota hai to apne aap se kai sawalo main ghira hota tab aisi batte zehen main aa jati hain bas apne onhin batto ko ghazal main paish kiya hai bakhoob amir ji.....anamica

Preeti said...

ghazab likha hai