Friday, February 22, 2008

Hunar na jaaye kahi.n...


Dard ye hadd se guzar na jaaye kahi.n
Dil kii dhaDkan thahar na jaaye kahi.n

iss darja takraati hai.n aahe.n dekho
Ye aasama.n bikhar na jaaye kahi.n

Kitna dabe paa.nv subaah aatii hai
Shab-e-makhmoor darr na jaaye kahi.n

Ab bahaare.n kabhi loat ke na aaye.ngi
Meri qismat sa.nwar na jaaye kahi.n

Wo beraham khyaalo.n mei.n aate rahe
Meri ummeed marr na jaaye kahi.n

Muddate.n ho gayii.n wo choD gayaa
Par yaad-e-sitamgar na jaaye kahi.n

Hans hans ke raahjan se ye kahta raha
Apne hatho.n ka hunar na jaaye kahi.n

3 comments:

Preeti said...

iss darja takraati hai.n aahe.n dekho
Ye aasama.n bikhar na jaaye kahi.n

Kitna dabe paa.nv subaah aatii hai
Shab-e-makhmoor darr na jaaye kahi.n


bahut he accha likha hai...

aur maqta tou aapki har ghazal ka laajawaab hota hai!!

Aamir said...

thanks a lot...
maqta kaha.n hai ismei.n shayad matla kahna chahti ho...

Preeti said...

ohh i tght last sheit maqta hoita hai.. ye nahi maaloom tah pen name ke satah likha gaya he maqta hota hai.. :P basics ki knwldg jaada nahi rakhte hum... :))