Tuesday, March 11, 2008

Zaraa mousam ye badal jaaye to ro lena...


Zaraa mousam ye badal jaaye to ro lenaa
Dil ka jab haal sambhal jaaye to ro lenaa

Tuu jo roya to kahin chaand bhi ye ro na paDe
Chandni raat ye dhal jaaye to ro lenaa

Suno kuchh der to tham jaao kinaare walo.n
Kashti jab duur nikal jaaye to ro lenaa

Dil-e-masoom ko sambhala hai kaise kaise
Iskii tabiyat jo bahal jaaye to ro lenaa

Fizaa ko kushk hii rahne de ahsaas-e-jigar
Jaltii shamaa jo pighal jaaye to ro lenaa

Isne dekha hai sadaa tujh ko muskuraate hue
Ziist karvat jo badal jaaye to ro lenaa


Nazar Sajde mei.n ho...



Ab Sadaa merii basar sajde mei.n ho
Har ghaDi meri nazar sajde mei.n ho

Havaa yu.n bhi chale imaan kii koii
Har shaakh-o-shajar sajde mei.n ho

Jaa.n nikle jab to yu.n nikle merii
Dil mei.n tuu ho, ye sar sajde mei.n ho

Ab ke aisii bhii koii sahar dekhu.n
Jab ye saara shahar sajde mei.n ho

Ham Nafas Andhera...




Gham mei.n mere saath tha, ham-nafas andhera
Dard mere dekh kitnaa, royaa be-bas andhera

Terii zindgii ka suuraj, kis ne bhigo diyaa
Dekhiye rehtaa hai ab to, kitne baras andhera

Jab se tuune mujh se apnii, nazare.n pheri hai.n
Zindagi lagne lagii hai, mujhko qafas andhera

Usne mere ghar ka haay-haay charagha.n dekh liyaa
Barq ne phir kii shararat, jas-ka-tas andhera

Ab diye bhii uss kii aankho.n ko agar chubhne lage
Kyo.n na kar de Raat pe, kha ke taras andhera

Ab kyaa kahiye...


Yaad uski thi ek bahaana ke ab kya kahiye
Mujh ko tha ashq bahaana ke ab kya kahiye

Jo khuD se hii apnaa pataa maa.nge hai
Kaha.n hai uska thikaana ke ab kya kahiye

Dard tere mujhko bhi bohot chubhte hai.n
Mujhsa hai tera fasaana ke ab kya kahiye

Ab oar haal-e-dil kya sunaau.n yaaro.n
Bas wohi dard puraana ke ab kya kahiye

Roaz milta hai mujhe pehchaanta nahi.n
Ye nayaa hai zamaana ke ab kya kahiye

Saaye ke bhi to Qad badle...



Dekhte-dekhte aalam bhi to kis had badle
Dhoop chaDti gayii saaye ke bhi to qad badle

Kab tak nibhaoge tum, nibhaoge kis tarah
Rishta be-maani jo, Har baat pe sarhad badle

Itne waqfe mei.n, kuchh mai.n to wafadaar hua
Khud ko hi badlu.n ke ab, wo to naa shaayad badle

Kabhi aashiq kabhi qaatil kabhi ghamkhwaar hue
Jab bhi badle mere mehboob to be-had badle

Waqt badla to zamaane ne Nazar pherii hai
Farz badle kaha.n tere kaha.n maqsad badle

Chaand ChaTakne lagaa...

Husn-e-yakta teraa kyo.n-kar use khatakne lagaa
Tera chehraa dekha usne chaand chatakne lagaa

Ab nagri ke saare maikash gaafil rahte hai.n pyare
Jab se tuu khiDki pe aakar zulf jhatakne lagaa

Koi kahe sapera usko to koi kahe matwaala hai
Ek musafir zulfo.n mei.n har shaam bhatakne lagaa

Koshish karke haar jaaoge raaz chhupa na paoge
Jaanu.n ye maiy ka pyaala kab se chhitakne lagaa

Jab se usne sher kii evaz nazar uthaakar dekha hai
Tab se dekho har shaayar ka misra atakne lagaa
***
yakta=matchless

Kyo.n itnaa sharmaate ho....


Kyo.n itnaa sharmaate ho ke khwabo.n tak hii aate ho
Chokhat tak to aate ho phir kis se darr jaate ho

Koi pahar ho, shaam sahar ho naam mera hii lete ho
Naam mera jab aata hai to kyo.n itna ghabraate ho

Meri dastak sun_ne ko to jaane kab tak jagte ho
Jab meri aahat hoti hai to qasdan hii so jaate ho

Joban ek musafir hai jo jaa kar phir na loatega
Jispe tum ithlaate ho oar apno.n ko taDpaate ho

Ek shaam mei.n rang tumhare kitne saare dekhe hai.n
Mujh par tum jhunjlaate ho phir mujhko hii samjhaate ho

Kabhi asha'ar -e- painda nike...

Iss shahar se ek bashindaa nikle
Koi adab ka numaindaa nikle

Kal andhere mei.n jo soacha mai.ne
Khayaal kitne tabindaa nikle

Kuchh iss tarah se amal zoar kare
Tere bhiitar ka darindaa nikle

Wo mehfil se niklaa kho ke khudi
Marr hii jaye jo aaindaa nikle

Jism se jaan yu.n bhi nikle hai
Jaise pinjre se parindaa nikle

Baad marne ke jo talaashi lee
Uske khwaab to zindaa nikle

Mere lafzo.n ka lahu aaye nazar
Kabhi ashaar-e-paindaa nikle
*****

Tabinda-bright
Painda-everlasting

Aashiqi ka aalam...


Ye aashiqi ka aalam bhi to milaa-julaa sa tha
Chhaii thi Ghataa kahi.n aasma.n khulaa sa tha

Mere dil mei.n bhi ishq ka ek bulbulaa sa tha
Uske dar par hii jo jaa.n dene ko tulaa sa tha

Uske khat mei.n to abke ek nayi hii baat thii
Ek Kaghaz kora sa wo bhi dhula dhula sa tha

Unki kam-guftaari to hamne bhi sunii magar
Wo Izhaar-e-tamanna kyo.n napa-tulaa sa tha

Uske andaaz-e-shikwa par hue qurbaan ham
Jiskaa har lafz shiirii.n mei.n ghulaa ghulaa sa tha






tujh ko judaa kaise kahu.n...


Mehfil mei.n khud ko ghamzadaa kaise kahu.n
Duuriya.n laakh sahi tujh ko judaa kaise kahu.n

Ye bhi nahi.n kahtaa ghamo.n se ulfat hai
Mere apne hai.n apno ko buraa kaise kahu.n

Diivaana hu.n par kaafir to nahi.n ho sakta
Butt maine taraashe they khudaa kaise kahu.n

Ye teri mehar hai ke gham se nijaat paayi hai
Ab qaatil tuu hii bataa shukriyaa kaise kahu.n

Koun bhala kahta hai jaha.n mei.n ‘aamir’ tujhko
Bas ek mai.n hu.n tujh se khafaa kaise kahu.n



dard ye hadd se guzar na jaaye kahi.n...




Dard ye hadd se guzar na jaaye kahi.n
Dil kii dhaDkan thahar na jaaye kahi.n

iss darja takraati hai.n aahe.n dekho
Ye aasama.n bikhar na jaaye kahi.n

Kitna dabe paa.nv subaah aatii hai
Shab-e-makhmoor darr na jaaye kahi.n

Ab bahaare.n kabhi loat ke na aaye.ngi
Meri qismat sa.nwar na jaaye kahi.n

Wo beraham khyaalo.n mei.n aate rahe
Meri ummeed marr na jaaye kahi.n

Muddate.n ho gayii.n wo choD gayaa
Par yaad-e-sitamgar na jaaye kahi.n

Hans hans ke raahjan se ye kahta raha
Apne hatho.n ka hunar na jaaye kahi.n


Waqt kii shaakh se lamhe..TM

Tere khayaal agar akela kabhi chhoDa karte
Ham bhi kaghaz pe ye jazbaat nichoDa karte

Abhi kachche hai.n samar* oar zaraa tapne do
Waqt ki shaaKh se lamhe nahi.n toDa karte

Gar pataa hota, hai ye behruupiyo.n ka nagar
Ek naqaab-e-ham-sukhan yaha.n oDa karte

Har taraf zharf* ghutan ho, uspe ek Dard buland
Kisi ko iss moD pe tanha nahi.n ChhoDa karte

Uss masuum se bas ye hii guzaarish thi merii
Sachche aashiq ka kabhi dil nahi.n toDa karte

Jaanta hu.n ke ham-rutbaaii ka hai usool yaha.n
Warna ham bhi to tere dil se dil joDa karte

Zindgi ne sikhlayaa hai sabaq ek yehi mujhko
Biida-e-zindgi* se kabhi muh nahi.n moDa karte
************

*Samar-fruit
*zharf-deep
*biidaa- Responsibility

Unkii Aankho.n mei.n bhalaa- TM



Wo jo chhalke.n to meri aankh bhi DabDaba jaaye hai
Unki aankhon mei.n bhala, kab humse dekha jaaye hai

Tuu mera hamraaz hai khaai thi qasam jhoothi uss din
Raaz–e-gardish kyo.n phir mujhse chhupa jaaye hai

Dard wo dard kaha.n raha jo in ankho se beh nikla
Apni zindgi ki ye, ek daasta.n sa banaa jaaye hai

Mera dil-e-makhmoor phir Lagzish hua to kya bura
Is gham-e-dilkash mei.n to naza koi bhi pa jaye hai

Mai.n hu.n oar mera Safar jo _ Nahi.n hota tamaam
Har subah ek naya hii sahraa, saamne aa jaaye hai
***************

Lagzish-laDkhaDana
Naza- aakhiri saans



----------------------------------------------------

Badal gayi hai ye zami.n...


Badal gayi hai ye zami.n, aasma.n badla hua
Sab kuch badal gaya, jo tuu badla to kya hua

Keysh-e-pesh-o-pas ka yu.n bhi faisala hua
Kuchh fard sard mile, aor ek ghar jala hau

Naya zamana hai, ise sach bhi koun manega
Ye soacha to sach kehne ka phir housla hua

Maine suna hai ke tumhara lahu to surkh hai
Wo malool sahi, tere valvalo.n ko kya hua

Kuchh to tujhse baghawti bhi hue hai.n ‘aamir’
Par wo bhi jo sareer tha kuchh Daba daba hua

************
Sareer-qalam kii awaaz jo likhte waqt aati hai.
Valvale-enthusiasm
Malool-sad



Khamoshi ka hunar...!!



Ye sukuut-e-dil oar meri khaamoshi ka hunar
Haira.n hua dekh ye ham-aaghoshi ka hunar

Tera tasavvur nahi.n to tera gham hi sahi
Bin piye siikha hai ye madhoshi ka hunar

Tuute hue taare mujhe ye to batata ja
Kaha.n se paaya khanabadoshi ka hunar

Kya thiik hai har dar- ko bhigote phirna
Ashqo ko sikhaao parda-poshi ka hunar

Kaise bhuulu.n ahsaan-e-dard ko ‘aamir’
Mujhko aata nahi.n faramoshi ka hunar





Na fikr kar...




Zindgi kyo.n tuu sach sach bataati nahi.n
Na fikr kar mai.n itna-bhi jazbaati nahi.n

Jaane kaha.n kho gayi hai Tawajjoh meri
Phuul se bhi ab koi khushbu aati nahi.n

Phirta hai jo tuur pe dhundhla sa koi
Uss tak meri aawaaz kyo.n jaati nahi.n*

Jis din se bahare.n mujhse ruuthi hai.n
Koi ada-e-sabz-o-gul mujhe bhati nahi.n

Jiske kirdaar hii bewafa afsaane nikle
Wo kahani bhi khud ko dohrati nahi.n

****************
*When Hazrat Musa, compelled by the insistence of his people, went to Mount Tuur and petitioned the Lord Most High, 'Oh Lord, show me Your radiance', he received the reply, 'You cannot look upon it'. When he asked again, a stroke of lightning flashed. The bush of Tuur burned, the mountain of Tuur shuddered in an earthquake. Hazrat Musa fainted and fell to the ground.

Jo khud ko Chahtaa hai....

Bekaar hii apne dil ko, tuu beh-zaar karega
Jo khud ko chahta hai, kya tujhe pyar karega

Tuune jo jazbe hichak hichak ke rakhe they
Un-ka wo tamasha sar-e-bazaar karega

Jitney bhi taalib they, sab khwar ho chuke
Dekhe.n ab koun jurrat-e-diidaar karega

Jis shaad rukh pe tum ja.nisar karte they
Har sahar ab roya wo zaar zaar karega

Jiska junu.n bhi ziist sa berang ho chala
Kis rang ko baya.n wo fankaar karega

Yu.n hii kati hai ‘aamir’ ye umr-e-taweel
Eitbaar karega, ab to wo eitbaar karega


Dheere dheere qareeb aa rahe hai.n wo...(TM)




Khwabo.n mei.n aa-aa ke bulaa rahe hai.n wo
Mujhse bichhadke kyo.n pachhta rahe hai.n wo

Ghabrate they wo khud se baat karne mei.n,
Mumkin hai isi vaaste khafa rahe hai.n wo

Gham ke saaye jo qasr-e-zulmat se baDe,
Dhere dhere qareeb aa rahe hai.n wo

Tasavvur ke farishto.n ke meethe se qisse
Meri udaasiyo.n ko behla rahe hai.n wo

Takra ke loate ye naale to oar bhi mazeed
Jaise uquubat-kade se aa rahe hai.n wo
***
Qasr-e-zulmat=dark palace
Uquubat-kada= Punishment center


Tuune thukrayaa mai.n ho gayaa zamaane ka...


Har bashar qaayal hua gham ke taraane ka
Tuune thukraaya, mai.n ho gaya zamane ka
Ye shaks shuhood-e- mehfil har kahi.n mila
Bas ek bahana dhuundta hai muskurane ka

Zindgi jaane kab guzar gayii dekha nahi.n
Mubtila tha mauqa na-mila sar uthaane ka

Jawab aaye nahi.n to kahiye wo sharmsar hai
Oar kya hai, uzr hai apni khudi bahlaane ka

Bekasi ka takht, oar liye ilzaamo.n ka taaj
Ha.n mai.n hii shahnshah hu.n iss viirane ka

Mujh ko maaf karna wo mai.n hii chura laaya
Na paoge ab aakhiri warqa uss afsaane ka

Dil mei.n liye jo tuu kahi.n ‘aamir’ chala gaya
Koun phir musnnif rahega tere fasaane ka

***
Uzr=excuse
Khudi= ego
Shuhood-presence
Musannif=writer

Ashqo ko sambhalo yaaro.n...




Yu.n mujhko uljhan mei.n na daalo yaro.n
Apne beqaraar ashqo ko sambhalo yaro.n

Jis_se bhi milo tum sirf milo pur-khuluus
Har din ek naya rafeeq tum paalo yaro.n

Jo jins kam mili use ahtiyaat se rakkha
Pyar bhi wohi niyamat hai bachalo yaro.n

Mujhe maluum hai anjaam-e-keysh-e-nafrat
Tum bhi diin-e-mohabbat ko apnalo yaro.n

Sajda kiya hai jisne wo uski aankh ka tara
Kya bura jo tumbhi sar ko jhukalo yaro.n

Viiraanii-e-lamhaat na hogi...


Apnii hii nafs se ab to kabhi baat na hogi
Meri ab khud se bhi koi mulaqaat na hogi

Teri sab shararate.n sang mere phire.ngi,
Dasht mei.n bhi Viiraanii-e-lamhaat na hogi

bouchhro.n se Chhupke khaDe they ham jaha.n
wa.n ab kabhi wo shariir si barsat na hogi

ho jayegi ab meri muraadgarii bhi fanaa
jab tere daras kii bhi koi khairat na hogi

Udta kahi.n hawa ke paro.n pe phire ‘aamir’
Tere ghamo.n se tujhko kabhi nijaat na hogi

Wo jazb-o-meyaar du.n....



Apni sada-e-dard ko kuchh yu.n sa.nwaar du.n
Har bashar ke zehan ko mushki-khumaar du.n

Mera bhi zikr nikle, mehfil mei.n kabhi kabhi
Ghazlo.n mei.n apni wo jazb-o-meyaar du.n

Ye raat jaise gin rahi hai, apni aakhiri saanse
Mai.n bhi kisi bahaane, ye shab guzaar du.n

Karti rahi sawaal ye zindgi kitne ajeeb se
Isko bhi jawaab-e-saed koi kham-daar du.n

Dekh ke Zulmat teri, haira.n hai.n kai shakhs
Zara Idhar to aa zindgi, nazar teri utaar du.n

Mehfilo.n mei.n rang hai...!!


koi aa.nsuo.n mei.n ghir raha hai,
Mehfilo.n mei.n rang hai
Dar badar koi phir raha hai,
Mehfilo.n mei.n rang hai

Ek taraf hai bhuukh roati
Mehfilo.n mei.n rang hai
Maa.n uski daaman bhigoti
Mehfilo.n mei.n rang hai

Chulhe thande ho gaye
Mehfilo.n mei.n rang hai
Bachche bhuukhe so gaye
Mehilo.n mei.n rang hai

Raat kii hai saa.ns tuuti
Mehfilo.n mei.n rang hai
Meri dil kii aas chhuuti
Mehilo.n mei.n rang hai



diida-e-tarr zyadaa hai...



Biite lamho.n ka kahi.n zikr agar zyada hai
Ye to hona hii tha, diida-e-Tarr zyada hai

Yu.n to koi bhi nahi.n duniya.n mei.n pur suku.n
Hujuum-e-gham kuchh mere ghar zyada hai

kyo.n chiDae zahik misl-e-azm keh kehke
Pao.n ghayal hai.n, aziiyat-e-safar zyada hai

Khud kii ruswaii, ya mujhse juda ho jana
Keh to do tum ko kis baat ka dar zyada hai

Kisine Dua di to kisi ne bad-dua bhi di hai
Ab dekhna hai ke kis_me asar zyada hai


**************
misl-e-azm = example of Strength
Aziiyat-e-safar=difficulties in travel
Zahik=mocker


Oar kyaa sach hai bas mout oar khuda ke siwa...

Maine kya ma.nga tha bas ek wafa ke siwa
Mila na kuchh bhi ek nazar-e-khafa ke siwa

Milega kya tujhe ek ujle se Qaba* ke siwa
Oar kya sach hai bas mout oar khuda ke siwa

Mujhko shiishaa-o-paimaanaa dikhao kyo.n kar
Oar kuchh chahiye iss Dard kii dawa ke siwa

Kis tarah tuune zindgi uss roaz mu.n phera tha
Sab kuchh bhuula hu.n teri uss ada ke siwa

Amal-e-duniya hai par teri fitrat nahi.n ‘aamir’
Bhuulna sab kuch apne Dard-o-aza ke siwa




*refered ‘kafan’

Wo diiwaar saaf dikhtii hai...!!

Tere dil kii ye jo uljhan bhi, kai baar saaf dikhti hai.n
Jo khinchi hai dil mei.n tere, wo diiwaar saaf dikhti hai

Wo ab bhi naam pukarte to hai.n mera kabhi kabhi
Par uss awaaz mei.n hai , jo daraar saaf dikhti hai

Kitni muskurahate.n oDe, muddato.n mei.n aaya hai,
Uske daaman mei.n chhupi, ek dhaar saaf dikhti hai

Wo kya kisi ko sunaayega, ab apne gham-e-hayaat
Jiske rukh pe dasht-e-qudrat ki, afakaar saaf dikhti hai

Tera qatil bhi shamil hai ‘aamir’ tamashbiino.n mei.n
Us jharoke mei.n, chashm-e-gunahgar saaf dikhti hai

Dil mere....!!!

Mujhse nahi.n tujhko chahat dil mere
Jo tuune paali ishq kii illat dil mere

Dekhoge kya kya alaamat dil mere
Abhi to hai aaghaz-e-ulfat dil mere

Meri khabar lete nahi.n jabse gaye
Ho gaye ho be-muravvat Dil mere,

kya tuune bhi kabhi ye dhun suni
Ye Nawa-e-gham-e-furqat dil mere

Tera kya, tuu waha.n hai pur-suku.n
Mai.n hii guzra dour-e-aziyat dil mere

**********
Alaamat=omen
Aaghaz-e-ulfat = Beginning Of Love
Nawa-e--gham-e-furqat= sound of sorrow of separation.
Pur-suku.n=relaxed
Dour-e-aziyat=period of torture

Baat kar...!!!



Ab na uss khushi ke tarane kii baat kar
Na mujh se beraham zamane kii baat kar

Har chot pe jo cheDta hai ek naya hii geet
Dard mei.n duube uss diiwane kii baat kar

Kab tak tu jalega aatish-e-khamosh mei.n
Ab to na iss lapat ko dabaane kii baat kar

Sooq-e-khushi mei.n mera nahi.n rasook
Chalta hai to dasht-o-viirane kii baat kar

Mujhko koi aahat ab paresha.n nahi karti
Tuu aane kii baat kar ya jaane kii baat kar

Gungunaatii raate.n...!!!

Suhaane sapne sii wo jagmagati raate.n
Madhoshi mei.n duubi gungunati rate.n

Mujhko cheD cheD muskurati rate.n
Har roaz meri neend churaati rate.n

Kitni shariir adaye.n thi unn raato.n kii
Aaj bhi isharo.n se hai.n bulaati rate.n

Sawal ka diya kuch iss ada se jawab
apne da.nto se yu.n honth dabati rate.n

jinki mehak kahi.n kar gayi hai ghar
wo raat kii rani sii madmaati rate.n

jab khoya rehta hu.n unke khayal mei.n
houle se dabe paw.n hai.n aati rate.n

“aamir” ko jo deta thoDa sa ilm-e-ghaib
jaan leta oar kya kya hai.n dikhati rate.n


Sahar tak jiine ka wadaa na - lo mujhse...



Sahar tak jiine ka wada na-lo mujhse
shikwe jitne bhi hai.n, kar dalo mujhse

Mai.n bhi ek uljha sa insa.n hu.n tumsa
itni behtar ummeedei.n na palo mujhse

Mere paas oar kya hai saariq jo le jaoge
Yu.n karo mujh ko hii Churalo mujhse

Teri ghami dekh ke ro na paDu.n kahi.n
Jazba-e-dil ko is baar chhupalo mujhse

Meri aakhiri hichki hai muskurao to sahi
Itni to chalo dushmani nibhalo mujhse



Ye raat kitni be-noor lagti hai....

ye raat kitni be-noor lagti hai
sehar bhi door-door lagti hai,

waqt ruka hai ,ya mai.n pagal
koi to wajah zaroor lagti hai

itni talkhi sii hai sa.nso mei.n
ye zindgi nasoor lagti hai

wo baat jispe gile hazaar rahe
ab kyo.n be-qasoor lagti hai

nee.nd se bojhal si meri nazar
kyo.n tumhe makhmoor lagti hai


Chand Ghazle.n merii bhi paDaa karoge tum...

Mai.n na rahaa to yaad phir kise karoge tum
Meri khalaa ko bazm mei.n kaise bharoge tum

Tumko qasam hai ke purane sanduuk se
Chand ghazle.n meri bhi paDaa karoge tum

Hatho kii chhaap meri jo lagi diwar par
Holi ke aabi-rang ab na mitoge tum

Kya meri yaad aayegi batao to sahi
Eid ke din sabse jab gale miloge tum

Mana ke qabil na raha “Aamir”, to kya
Haq jo hai dosti ka, ada karoge tum

Dard manaaye.nge sahar hone tak....



is qadar ashk bahaye.nge sahar hone tak
ab to ham jaan se jaye.nge sahar hone tak

inko paDne kii jurrat yehi kar pate hai.n sitare
meri aankho.n mei.n jhanke.nge sehar hone tak

aaj kii raat shehar mei.n kyo.n charagha hai
kitna ghabraye phire.nge sahar hone tak

majlise.n sajti rahi.n aaj wo jo aaye hai.n
haath siine pe hii rakkhe.nge sahar hone tak

Raat amawas ki ho ya gun-gunaye chandni
phir se ham dard manaye.nge sahar hone tak




Jab tasavvur mei.n koii shakl basa_lii jaaye..

Jab tasavvur mei.n koi shakl basa_ lii jaye
Kis tarah daulat-e-dida-e-tar sambhali jaye

Mujhse gham, oar mei.n paresha.n un se
Ab khushi se Milne kii koi raah nikaali jaye

Kis_se kahu.n ke kitna raha azeez wo rukh
Sajde karne jaha.n tere kaan kii baali jaye

Chhup chhup ke dost waar karta hai yu.n
Kahi.n dileri mei.n koi waar na khaali jaye

Usne pukara bhi kuchh is nazar andaazii se
Raah mei.n jaise kabhi aankh churaali jaye

Dil ko samjhayaa kaise kaise....


Tum se milne kii taDap ko dabaya kaise kaise
Tum Kya jano iss dil ko samjhaya kaise kaise

Apni ruuh ko qaid se chuDaya kaise kaise
Apne Dil ka ye Karz chukaya kaise kaise

Jism ghayal oar shahar mei.n tuufan-e-ghadar
Na puuchho ku-e-yaar tak aaya kaise kaise

Teri ruswaai ko dekhu, ke shoq-o-huDak apni
Main.e in uljhano.n ko suljhaya kaise kaise

Teri laparvah ada hui, oar meri ja.n pe aa bani
Ho rahe hai.n manzar ye numaya kaise kaise

Monday, March 10, 2008

tujhko dekhaa to janaa...!!

Tujhko dekha to manaa, ke rab hai koi
Shukr hai, uzr-e-zindgi, to ab hai koi

Raat baqi hai, oar baqi ghazab hai koi
Teri zulfoN ke bikharne ka sabab hai koi

Mera jo aangan, chamkta hai mahtab sa
Aatish-e-husn hai ya chiragh-e-shab hai koi

Sarka jo rukh se hariiri naqab iradatan
Keh dala sher maine bhi besabab hai koi

Jhapki nahi.n aankh tere intezar mei.n
Diiwana hu.n ya husn-e-talab hai koi

Aankhe.n na rahe.ngii...

Jinse gilaa hai tujh ko wo aahe.n na rahe.ngi
TaDpega husn kitna jo nigahe.n na rahe.ngi

Ab aasmaa.n ko tuune siitaro.n bhar diya
Qayam-e-Jazbat ko Panaahe.n na rahe.ngi

Khushbu-e-chaman bhaatii hai mujhko khoob
Jabse khabar lagi hai, ye saanse.n na rahe.ngi

Manzil abhi hai duur , zaraa de amal pe zor
Qahar-e-tuufa.n uthaa to ye rahe.n na rahe.ngi

Ashqo.n ki chilman se zaraa, nihar lu.n tujhe
Jis qadr rota hu.n, meri ankhe.n na rahe.ngi

Lafzo.n se rishtaa...

Lafzo.n se mera rishta bada purana hai..
shaam hote hii meri ungliya machalti hai.n
Terii chooDi ke tarah khankte hai.n
Lafz aake mere kano.n mei.n chahkte hai.n
Mere aahat wo bhi pehchanti hai
Qalam khud ba khud karwate.n badalti hai.
Mai.n majboor hu.n…
Lafzo.n se mera rishta bada purana hai....

Ghamo.n mei.n barqat hai...

hum bhoolna chahe, wo badte jate hai,
mere dil ko unke ghamo.n se ulfat hai.

abke wo milenge to unse kahe.nge,
ke tere ghamo.n mei.n badi barqat hai,

Saturday, March 8, 2008

Rehmat-e-Khudaa

suhane dino.n ki sada yaad aayi
be-ghairat qismat ki ada yaad aai

in dino.n se to achche thye wo zamaane
abki baharo.n mei.n, hansti khiza.n yaad aayee

saare jahan se ho ke mayoos mujhe
aaj phir rahmat-e-khuda yaad aayee.

Jo ye din dekhe..


kyo.n ishq hamne kiya jo ye din dekhe
kyo.n unke liye jiya jo ye din dekhe

kahi.n bhi rahe.n dosto.n ko yaad Karen.ge
tumhara bada shukriya jo ye din dekhe

hum to tere khumar mei.n, khush rahte the

aisa kya hamne kiya jo ye din dekhe

Abhi ek oar ghar baaqi hai....



Mere dil mei.n to ishq ka zahar baqi hai.
Mud ke aa tuu bhi, pyar agar baqi hai,


Phalak too bijilya.n oar girati kyo.n nahi.n
Shahar mei.n abhi ek oar ghar baqi hai


Sabhi ro diye kyo.n meri dasta.n sunke
Lagta hai abhi aah mei.n asar baqi hai



Ruk ruk ke chaloge to kaise chalega
Qadam badao bada lamba safar baqi hai


Sare aansu-o.n ko na lutao ‘aamir’
Raat baqi hai, abhi gham ki sahar baqi hai

Ghar ChoD ke wo jo jaata hai..



Ghar chod ke, Wo jo jaata hai
mera dil nikal nikal ke jaata hai

hath to uth-te hai.n, rokne ko
lab pe alfaaz nahi.n aata hai.

*****
mann kahe, chupke se,kuchh esa ho jaye
aaj naa jaye wo bas aaj ruk jaye

Kanto.n se kaise, hum tanhaii ko siyenge
Mera gul-e-dilbar to chala jata hai.

*****
Dil chuur hota hai, ye soach ke, dekho!
Jaane ka naam tum na baar baar lo

Yaad hai !! mujhe hamsaaya kaha tha
Saya bhala kabhi jism se juda hota hai

*****
Meri mano to isko bhi saath liye jao
Is gham-e-ulfat ko na chhod ke jao

Haay Kaise beetengi waqt ki dushwariya.n
Kyo.n na aaj, ye waqt thahar jaata hai.

Phir se jalaya kyo.nkar...


Zindgi ko phir-se is maqaam pe laya kyo.n kar
Bujha charaagh tha phir-se Jalaya kyo.n kar

Jaan to lena tha ke hum mowafiq hai.n ke nahi.n
Tuune aakhir iss gham ko banaya kyo.n-kar

Kai din se qadmo.n mei.n kuchh chubhan sii hai
Dil ke tukdo ko rah mei.n bichhya kyo.n-kar

Hum jii rahe they, isi ghaflat umr kat jaati
Wo bevafaa afsana tumne sunaya kyo.n-kar

Zindgi ke andhere mei.n koi saath nahi.n hota
Phir chale sath kab tak, mera saya kyo.n-kar

Dar raha na kashaana koi...


sab jaa chukaa tha, dar raha na kashaana koi
ashko.n se bhigone ko dekhta tha shaana koi

bhatakta hua aa-pahoncha hu.n ku-e-dost tak
purane zakhmo.n kii ab naa yaad dilana koi.

Aah!! phool jitney miley sab khar-daar they
Chubhte hai.n bohot palko.n se naa uthana koi

Barish ke paani se bach bach ke chalta hu.n
Yaad aa jaye nahi.n, guzra zamana koi

Mera asbaab-e-mal-o-asbaab dekh na jana
Nikla hu.n ke mil jaye ab thikaana koi.

Aaj meraa zard ...


“Aaj” mera zard ho to kya na chahoge mujhe ?
Yaa bas Chashm-e-mayaguun se dekhoge mujhe
***
Har-ek shaks aaya meri mehfil mei.n ba-shart

Tum mujhe apna na kahoge, na sarahoge mujhe

***

Zabt-e-junuun ki ye had kaha.n dekhoge.

Wo jaa raha hoga, oar muskurata paoge mujhe

***

Abhi Waqt hii kya hai, wo loat aayega

Kab talak ai mere dil, tasalli doge mujhe

***

sabne kaha, itlaaf-e-zindgi, kabhi ujaar-e-zindgi

kabhi to ahle duniya, insaa.n kahoge mujhe.

***
Mei.n to tujhse kabhi juda hua hii nahi.n
Mujhko ruswa karoge, gar aawaz doge mujhe.

---------------------------
(Chashm-e-mayaguun= Intoxicating Eyes)
(Zabt-e-junuun=self control)
(itlaaf-e-zindgi=loss of life, Ujaar-e-zindgi=waste of life)