Tuesday, March 11, 2008

Waqt kii shaakh se lamhe..TM

Tere khayaal agar akela kabhi chhoDa karte
Ham bhi kaghaz pe ye jazbaat nichoDa karte

Abhi kachche hai.n samar* oar zaraa tapne do
Waqt ki shaaKh se lamhe nahi.n toDa karte

Gar pataa hota, hai ye behruupiyo.n ka nagar
Ek naqaab-e-ham-sukhan yaha.n oDa karte

Har taraf zharf* ghutan ho, uspe ek Dard buland
Kisi ko iss moD pe tanha nahi.n ChhoDa karte

Uss masuum se bas ye hii guzaarish thi merii
Sachche aashiq ka kabhi dil nahi.n toDa karte

Jaanta hu.n ke ham-rutbaaii ka hai usool yaha.n
Warna ham bhi to tere dil se dil joDa karte

Zindgi ne sikhlayaa hai sabaq ek yehi mujhko
Biida-e-zindgi* se kabhi muh nahi.n moDa karte
************

*Samar-fruit
*zharf-deep
*biidaa- Responsibility

1 comment:

Preeti said...

kaafi yadaein judi hai es tm se humati :)

aur us tarhi mae bhi apaki ghazal top 3 mae thi....