Tuesday, March 11, 2008

Chaand ChaTakne lagaa...

Husn-e-yakta teraa kyo.n-kar use khatakne lagaa
Tera chehraa dekha usne chaand chatakne lagaa

Ab nagri ke saare maikash gaafil rahte hai.n pyare
Jab se tuu khiDki pe aakar zulf jhatakne lagaa

Koi kahe sapera usko to koi kahe matwaala hai
Ek musafir zulfo.n mei.n har shaam bhatakne lagaa

Koshish karke haar jaaoge raaz chhupa na paoge
Jaanu.n ye maiy ka pyaala kab se chhitakne lagaa

Jab se usne sher kii evaz nazar uthaakar dekha hai
Tab se dekho har shaayar ka misra atakne lagaa
***
yakta=matchless

1 comment:

Preeti said...

aapne jab ye ghazal post ki thi tou kaha tha "qaafiya thoda ajeeb hai" lekin es qaafiye se he es ghazal ki khoobsurti aur bhad gayi.. bahut soft touch mae romatin ghazal hai..