Tuesday, March 11, 2008

dard ye hadd se guzar na jaaye kahi.n...




Dard ye hadd se guzar na jaaye kahi.n
Dil kii dhaDkan thahar na jaaye kahi.n

iss darja takraati hai.n aahe.n dekho
Ye aasama.n bikhar na jaaye kahi.n

Kitna dabe paa.nv subaah aatii hai
Shab-e-makhmoor darr na jaaye kahi.n

Ab bahaare.n kabhi loat ke na aaye.ngi
Meri qismat sa.nwar na jaaye kahi.n

Wo beraham khyaalo.n mei.n aate rahe
Meri ummeed marr na jaaye kahi.n

Muddate.n ho gayii.n wo choD gayaa
Par yaad-e-sitamgar na jaaye kahi.n

Hans hans ke raahjan se ye kahta raha
Apne hatho.n ka hunar na jaaye kahi.n


1 comment:

Preeti said...

ghazab ka flow hai esmae.... aur bahut hea cche se acchi ghazal kahi hai..