Tuesday, March 11, 2008

Unkii Aankho.n mei.n bhalaa- TM



Wo jo chhalke.n to meri aankh bhi DabDaba jaaye hai
Unki aankhon mei.n bhala, kab humse dekha jaaye hai

Tuu mera hamraaz hai khaai thi qasam jhoothi uss din
Raaz–e-gardish kyo.n phir mujhse chhupa jaaye hai

Dard wo dard kaha.n raha jo in ankho se beh nikla
Apni zindgi ki ye, ek daasta.n sa banaa jaaye hai

Mera dil-e-makhmoor phir Lagzish hua to kya bura
Is gham-e-dilkash mei.n to naza koi bhi pa jaye hai

Mai.n hu.n oar mera Safar jo _ Nahi.n hota tamaam
Har subah ek naya hii sahraa, saamne aa jaaye hai
***************

Lagzish-laDkhaDana
Naza- aakhiri saans



----------------------------------------------------

1 comment:

Preeti said...

rulla diya ver ji aapke es tm ne humae... :oo:

ghazal bahut acchu hai bahuts oft note mae