Tuesday, March 11, 2008

Ab kyaa kahiye...


Yaad uski thi ek bahaana ke ab kya kahiye
Mujh ko tha ashq bahaana ke ab kya kahiye

Jo khuD se hii apnaa pataa maa.nge hai
Kaha.n hai uska thikaana ke ab kya kahiye

Dard tere mujhko bhi bohot chubhte hai.n
Mujhsa hai tera fasaana ke ab kya kahiye

Ab oar haal-e-dil kya sunaau.n yaaro.n
Bas wohi dard puraana ke ab kya kahiye

Roaz milta hai mujhe pehchaanta nahi.n
Ye nayaa hai zamaana ke ab kya kahiye

1 comment:

Preeti said...

ye pahele bhi padha tha.. bahut acchi ghazal hai... ek bebasi hai esmae..