Tuesday, March 11, 2008

Zaraa mousam ye badal jaaye to ro lena...


Zaraa mousam ye badal jaaye to ro lenaa
Dil ka jab haal sambhal jaaye to ro lenaa

Tuu jo roya to kahin chaand bhi ye ro na paDe
Chandni raat ye dhal jaaye to ro lenaa

Suno kuchh der to tham jaao kinaare walo.n
Kashti jab duur nikal jaaye to ro lenaa

Dil-e-masoom ko sambhala hai kaise kaise
Iskii tabiyat jo bahal jaaye to ro lenaa

Fizaa ko kushk hii rahne de ahsaas-e-jigar
Jaltii shamaa jo pighal jaaye to ro lenaa

Isne dekha hai sadaa tujh ko muskuraate hue
Ziist karvat jo badal jaaye to ro lenaa


4 comments:

nadeem said...

nice work Amir Sahab.
But without your permission i have wrote about Your Sudarshan Fakirs Community in My blog Cause I am also a very big fan of him.So sorry for that. If u want me to delete that post i am ready, just leave me a msg on my blog .

http://kotuhal.blogspot.com/
Thanx N Regards

jasii jaisi koi nahin said...

WAH AMIR JI KYA BAT HAI VERY NICE

Unknown said...

bahut khoob surat blog hai aur shayeri to aapki humesha se bahut zabardast rahi hai ..relly nice :)

Preeti said...

bahut he accha likha hgai veer ji... full of pain..