Monday, April 7, 2008

Koun hai yaha.n par wo jiska chaak seena hai..



Koun hai yaha.n par wo, jiskaa chaak seena hai
Uskii aah ne dekho, chain-o-sukoon chheena hai

Uske dard sun kar saare marne kii dua dete hai.n
Oar wo hai kahta dekho, mujhko to abhi jeena hai

Itnaa sharaab-e-ziist mei.n kyo.n nashaa baD gayaa hai
Isko peena bhi hai aisa, roaz zehar peena hai

Na jaane kaha.n hai ab to, ai dil tumhari manzil
Ashqo.n ka ek dariyaa hai, yaado.n ka safeena hai

Behtar yehii hai mouqaa, o aasma.n bulaa le
Mahoul bhii namaazi hai, ramzaan ka maheena hai

Umr jo bhi baaqii hai sab, tere naam likh du.n
Tere bina jeena hai to, mujhko bhi kaha.n jeena hai

No comments: