Monday, April 7, 2008

Khud Se Saari baat jo khulkar ho gayii...!!

Khud se saari baat jo khulkar ho gayii
Dekho tabiyat kitnii behtar ho gayii

Sach zindgii ke saamne aate chale gaye
Jiine kii khwaiish kam se kamtar ho gayii

Naa nazar jhukii naa hii ye dil dhaDka
Itnii baat to khat mei.n likhkar ho gayii

Raahe.n yaro.n pathreeli thi.n aaj bohot
Chalte chalte chaal bhi pat_thar ho gayii

Ye to bataa de kaisii dua dii thii ‘aamir’
Jo Haalat uskii bad se badtar ho gayii

3 comments:

Ahmad Ali Barqi Azmi said...

برادر عزیز عامر
السلام علیکم
امید ھے مزاج گرامی بخیر ھوگا۔ میرے بلاگ پر تبصرے اور حوصلہ افزائی کے شکریہ۔ آپ کے اشعار جو آپ کے سوز دروں اور بقول رشید احمد صدیقی حدیث دلبری کے غماز ھیں بیحد پسند آئے۔ در اصل شاعری فکروفن کا ایک خوشنما امتزاج ھے۔ مشق سخن جاری رکھیں۔ آپ کے اشعار معنوی اور فکری اعبار سے بھت پر کیف اور معنی خیز ھیں۔ کھییں کھیں فنی اعتبار سے اصلاح طلب ھیں۔ اگر ناگوار خاطر نہ ھو تو اس بات کو ملحوظ رکھیں ۔ بھر حال میری طرف سے مبارکباد قبول فرمائیں۔
آپ کے خوش آیند مستقبل کا خواھاں
احمد علی برقی اعظمی

Preeti said...

pahele padha tha tab bhi rouna aa gaya tha aja phir aa gaya.. bahut dard hai esmae.. :(

Unknown said...

Khud se saari baat jo khulkar ho gayii
Dekho tabiyat kitnii behtar ho gayii


ye matla to dil par likha hua hai



Sach zindgii ke saamne aate chale gaye
Jiine kii khwaiish kam se kamtar ho gayii

Ye sher bhi mujhe bahut azeez hai

Ye ghazal un chand gazlo.n me se hai jo mujhe munh zabani yaad hain bahut khoob bhai

Kavish