Monday, April 7, 2008

Qissa-e-aitmaad...!!

Kitne azeez rahe tumhare jaane ke baad
Sham hai tanhayi hai aur tumhari yaad
***
Meri ab tak bhi hairaniya.n kaha.n gayi.n
Kisko sunaye.n jaake ye qissa-e-aitmaad
***
Mai.n wo guzre zamane sab bhuula hu.n
Tum aaye ho ab karne kyo.n daad-o-sitad
***
Ye bhi kya baat rahi, ke har jaanib itlaaf
Idhar mai.n barbaad, udhar tum barbaad
***
Muddaton ke baad hum tumse mile hain
Fasle bahar aayi hai muddaton ke baad
***
koi maafi iltaja bhi lage tumko na-gawaar
Ab toot hi chuka hai jab tumhara aitmaad
***
Kiske sahare jeena hai jab tum hi chal diye
Tanha na mujhko chodiye kar jaiye barbaad
***
Seene se dil nikal ke wo kah rahe hain ab
Na mujhko tujhse wasta hai na koi muraad
*****
Ghazal by : Kavish and Aamir
*****

4 comments:

Preeti said...

wowwwwww kya khoob kaha hai veer ji.. es bander ka name saath mae kyon likha [:p] bahut he shaandara ghazal hui hai...

Aamir said...

thanks a lot preeti...
bandar ne sach bohot achchha likha hai is mei.n...

Unknown said...

aamir sahab assalam alaikum aap ki banai website dekhi pasand aayi lekin sales kay kam karney kay bad bhi aap urdu ke liye itna waqt day rahey hai ye bahut badi baat hai meri email id hai alamtauqeer58@yahoo.co.in muchey aap mail kar kay batao kya aap khud shayar ho

Neeraj K. Rajput said...

wow bro it's really too gud