Friday, February 22, 2008

Amavas kii raat...

raat amavas kii oar mahtaab dhundne nikla
apna koi gumshuda arbaab dhundne nikla

Sansat se nikal ke azaab-e-ishq kii dekho
ab mai.n phir koi naya azaab dhundne nikla

un ghamo.n kii chandni aangan mei.n bikhri hai
ab ye bataa kise dil-e-betaab dhundne nikla

unn chashm-e-mast kii mujhe illat hai iss qadar
jaise koi makhmoor sharaab dhundne nikla

Ye loag diivana keh keh ke kyo.n ha.nsa kiye
kya ghalat ke dasht mei.n gulaab dhundne nikla

jo zehan mei.n rahe iss seene pe qalam band kiye
kaise kaise sawalo.n ke jawaab dhundne nikla

rakh ke apne tajurbo.n kii kitaabe.n machaan par
Nayii pod mei.n roaz-e-shadaab dhundne nikla

2 comments:

Preeti said...

bahut pyaara likha hai... purdard ghazal hai.. maqta khaastaur se bahut pasand aaya hai.. aur strt bhi bahut accha liya hai.. keep up the good work!!!!

Aamir said...

thanks a lot...tabu ji ke topic par likha tha community mei.n...
waise kaii ghazale.n hai jo topic par likhi hai....15-20 minute wali..:P