Monday, February 25, 2008

Faasla baaqi hai abhi...


Mere iss dard ka silsilaa baqi hai abhi
Dil mei.n magar housalaa baaqi hai abhi

In parindo.n kii parwaaz bata rahi hai ye
Ke ek oar koi zalzalaa baaqi hai abhi

Kis ke sahaare hai ye dharti tiki hui,
Lagta hai ke sach kii balaa baaqi hai abhi

Kyo.n mere dil mei.n ek hook utthi hai
Koi to chashm-e-mubtalaa baaqi hai abhi

Mehfil tamaam karte ho zara suno munsif
Mere gunaaho.n ka faisalaa baaqi hai abhi

Kuchh din oar yu.n hii apna faasla rahe
Ekhlaas ka ek bulbulaa baaqi hai abhi

Teri ye uljhan ‘aamir’ bayaan karti hai
Dil-o-dimaagh ka wo faaslaa baaqi hai abhi

2 comments:

jasii jaisi koi nahin said...

kafi mushkil ghazal paish ki hai apne...muje ise samjhne main akfi waqt lag gaya,,,,,,amir ji aap words kafi chunida lete hain.....apki words per pakdh kafi majboot hoti hai....per amir ji hum ye janna chahenge aap humesha aise hi kyu likhte hain word main jaise ....hai.N...main.N...YANI WORD AISE WORD MAIN FULSTOP AA HI JATA HAI..AISA KYU AMIR JI?.....ANAMICA

Preeti said...

In parindo.n kii parwaaz bata rahi hai ye
Ke ek oar koi zalzalaa baaqi hai abhi


Mehfil tamaam karte ho zara suno munsif
Mere gunaaho.n ka faisalaa baaqi hai abhi


Kuchh din oar yu.n hii apna faasla rahe
Ekhlaas ka ek bulbulaa baaqi hai abhi




ye teen sheir bahut he jaada pasand aaye..