Tuesday, February 26, 2008

Manzar angaro.n ka...


Khwaab mei.n dekha hai phir manzar angaro.n ka
Kaghaz ka safeena oar samandar angaro.n ka

Kahdo mujhko aakhir kyo.n ho dar angaro.n ka
Mera nagar aag ka dariya, aor ghar angaro.n ka

Mai.n kya jaanu.n nikla tha kiski talaash mei.n
Aake siine pe gira jo, ye nishtar angaro.n ka

Neend tuujhe bhi aayegi, khwab suhane aayenge
Raakh tera bas hone ko hai, ye bistar angaro.n ka

Yaad bohot hii aaye.nge jitne ahal-e-jouhar they
Chehra jinka moam sa tha, Dil andar angaro.n ka
***********
Safeena=boat
Nishtar= lancet
Ahal-e-jouhar= Intelligent people

3 comments:

jasii jaisi koi nahin said...

BHUT HI KHOOBSURAT GHAL HAI YE OR ISE PICTURE KE SATH OR BHI KHOOBSURAT BANA DIYA HAI APNE....

Aamir said...

tom and zairy ...aap koun hai.n...? asli naam to likh dijiye...waise bohot bohot shukriya..
ye ghazal meri bhi fav. hai...!!

jasii jaisi koi nahin said...

oh i m so sorry main name likhna bhool gai...me anamica..or ye tom &zairy name meri id ka hai jo orkut se hai