Monday, February 25, 2008

Chaandi kii zuba.n..


Pyaar ke bol ab koun yaha.n suntaa hai
Ye zamana to chaandi kii zuba.n suntaa hai

Wo waqif tha ke teraa jawaab kya hoga
Suntaa hai to tarz-e-baya.n suntaa hai

Barso.n se khamosh wo akela shajar
Bas guzarte hue karwaa.n suntaa hai

Uss bewa ke bhuke bachcho.n kii pukaar
Zami.n sunti hai na aasma.n suntaa hai

Tum bewafaaii ka hoale se zaraa zikr karo
Ye haadse to dil-e-natwa.n suntaa hai

2 comments:

jasii jaisi koi nahin said...

Uss bewa ke bhuke bachcho.n kii pukaar
Zami.n sunti hai na aasma.n suntaa hai

ak bewa ke derd ko kagaj pe utara hai apne....anamica

Preeti said...

jis din aapne ye ghazal likhi thoi uska ye matla

Pyaar ke bol ab koun yaha.n suntaa hai
Ye zamana to chaandi kii zuba.n suntaa hai

humae orkut pe bejha tha aur aaj tak yada hai..

so true veer ji.. a bitter truth.. bahut accha likha hai