Dekhte-dekhte aalam bhi to kis had badle
Dhoop chaDti gayii saaye ke bhi to qad badle
Kab tak nibhaoge tum, nibhaoge kis tarah
Rishta be-maani jo, Har baat pe sarhad badle
Itne waqfe mei.n, kuchh mai.n to wafadaar hua
Khud ko hi badlu.n ke ab, wo to naa shaayad badle
Kabhi aashiq kabhi qaatil kabhi ghamkhwaar hue
Jab bhi badle mere mehboob to be-had badle
Waqt badla to zamaane ne Nazar pherii hai
Farz badle kaha.n tere kaha.n maqsad badle
1 comment:
ghazal tou bahut shanadaar hai veer ji.. lekin satah mae aapka choice of pic is amazing... bahut sahipic chun chun k lagayi hai.. presentation se ghazal ki khoobsurti aur bhad rahi hai
Post a Comment