Gham mei.n mere saath tha, ham-nafas andhera
Dard mere dekh kitnaa, royaa be-bas andhera
Terii zindgii ka suuraj, kis ne bhigo diyaa
Dekhiye rehtaa hai ab to, kitne baras andhera
Jab se tuune mujh se apnii, nazare.n pheri hai.n
Zindagi lagne lagii hai, mujhko qafas andhera
Usne mere ghar ka haay-haay charagha.n dekh liyaa
Barq ne phir kii shararat, jas-ka-tas andhera
Ab diye bhii uss kii aankho.n ko agar chubhne lage
Kyo.n na kar de Raat pe, kha ke taras andhera
1 comment:
Gham mei.n mere saath tha, ham-nafas andhera
Dard mere dekh kitnaa, royaa be-bas andhera
ghazab veer ji.. ye humne pahele anhi pada :( pata nahi kaise miss hou gaya..
Ab diye bhii uss kii aankho.n ko agar chubhne lage
Kyo.n na kar de Raat pe, kha ke taras andhera
bahut accha likha hai.. three cheers to u
Post a Comment