Jab mere dil ki mujh se baat hoti hai
Raat se subah, subah se raat hoti hai.
***Zindgi bazi-e-wahshat kii bisaat hoti hai
Jazbato.n mei.n bhi sheh ya maat hoti hai
***Khud ko samajhne mein lage itne zamane
Bahot kam dosto.n se mulaqat hoti hai.
***Kyo.n aata hai baar baar zikr-e-tanhai
Mere sang yado.n kii ek jamaat hoti hai
***Dam bhi nikale uska to awaaz na nikle
Rasan-war* ki bass ye ahtiyaat hoti hai
***hu.n mai.n khalwat-o-bekalii ka mureed
Kya jaanu.n, kya rasm-e-hayaat hoti hai
***Ka.npta hu.n mustaqbil soach kar apna
Kuu-e-diigar jo koii vaardaat hoti hai
***Jamaat=team
Rasan-war=used for 'hangman' here
*Khalwat=isolation
Bekalii=restlessness
Hayaat=life
Mustaqbil=future
Kuu-e-diigar=others' street
3 comments:
bahut accha likha hai veer ji.. kuch march ke liye bhi chod dou :P
Thanks preeti...ye pichhli ghazle.n hai sabhi,
March mein. nayii ghazle.n hii post karu.nga...:P
Khud ko samajhne mein lage itne zamane
Bahot kam dosto.n se mulaqat hoti hai.
amir ji aise lagta hai jaise apki ey ghazal mere hi hallaat paish kerti hai....apki ak ak ghazal ko bar bar padhne ko man ho jata hai amir ji
Post a Comment