Khayalo.n ke kuchh musafir aate hai.n
Ek saraay hai, zehan kii waha.n Theharte hai.n
Kuchh aage baD jate hai.n, apne raste,
Kuchh yahi.n basawat karte hai.n,
Yahi.n reh jaate hai.n
Wo musafir phir dheere dheere,
Apne se ho jate hai.n
Bekhayali mei.n wo musafir khayal,
Meri zuba.n ho jate hai.n
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
well said...
Bekhayali mei.n wo musafir khayal,
Meri zuba.n ho jate hai.n
bahut khoob ji!!
ji preeti...khayal musafir hii hote hai.n, jaane kab bas jaate hai.n zehan ke gaao.n mei.n....
Post a Comment